Aisay Hote Hain Ali Ke Nokar Lyrics In Urdu 2010
Aisay Hote Hain Ali Ke Nokar Lyrics
Dekh Kar Meesum-o-Salman Ko Kehti Hai Nazar.
Waqt Par Waqt Ki Raftar Badal Detey Hain.
Fitrat-e-Khanjar-o-Talwar Badal Detey Hain.
Daar Par Lehja-e-Guftar Badal Detey Hain.
Zair-e-Khanjar Bhi Sada Detey Hain Haider Haider.
Tum Ne Maula Ki Muhabbat Ka Nazara Dekha.
Lashkar-e-Kufar Zyada Tha Magar Haar Gaya.
Chand Afrad Ne Lebanon Ka Naqsha Badla.
Bhagney Walay Zara Dekh Tu Pichey Mur Kar.
Ishq-e-Haider Ki Yeh Tableeg Kiya Kartay Hain.
Aisay Dewanay Hain Danai Atta Kartay Hain.
Aqal Walay Inhein Behlool Kaha Kartay Hain.
Haan Miti Se Bana Detey Hain Yeh Khuld Ke Ghar.
Qasar-e-Baiyat Ke Satono Ko Giraney Ke Liye.
Apna Ghar Qalb-e-Payamber Mein Bananey Ke Liye.
Jotiyaan Sibt-e-Payamber Ki Uthane Ke Liye.
Hur Ne Hanstay Hoye Dunya Ko Laga Di Thokar.
Mar Ke Bhi Ulfat-e-Haider Nahi Marne Deti.
Baat Yeh Hazrat-e-Salman Ne Sabit Kar Di.
Baad Marne Ke Agar Inn Ko Bolaein Gay Ali.
Maut Ki Gaud Se Labaik Kahin Gay Uth Kar.
Baat Karne Ke Liye Jab Bhi Zabanein Kholein.
Apne Kirdar Ko Meezan-e-Amal Par Tolein.
Lakh Hum Khud Ko Ghulam-e-Dar-e-Haider Bolein.
Baat Jab Hai Keh Humein Dekh Ke Bolein Haider.
Aathwein Door-e-Imamat Mein Jo Biphra Darya.
Aata Selab Tu Har Simt Tabahi Karta.
Wasta Tab Diya Maroof Ne Apne Sar Ka.
Khud Palatna Para Darya Ko Hadoon Ke Andar.
Taig Siffeen Mein Jab Malik-e-Ashtar Ki Chali.
Bhagney Walon Se Maidan Mein Bhagdar Si Machi.
Sar Katay Jism Katay Hath Katay Sans Kati.
Dad Malik Ko Di Abbas Ne Khud Yeh Keh Kar.
Maslehat, Jhot, Riyakari, Siyasat, Dhoka.
Khudnumai Bhi Dikhawa Bhi Sar-e-Farsh-e-Azza.
Our Phir Hub-e-Ali Ka Bhi :TAKALLUM: Dawa.
Kya Bataein Gay Agar Pochein Gay Maula Aa Kar.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2009-10:
#AisayHoteHainAliKeNokar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Mola Ali Manqabat Aisay Hote Hain Ali Ke Nokar Lyrics