Hussain Ka Akbar Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics Urdu 2020
Hussain Ka Akbar Syed Raza Abbas Zaidi
Arsh Se Farsh Pe Har Rukh Se Kamal Aata Hai.
Ghar Mein Shabeer Ke Shabeer Ka Lal Aata Hai.
Farsh Par Ban Ke Muhammad Ki Misal Aata Hai.
Iss Ki Khilqat Ka Jo Socho Tu Khiyal Aata Hai.
Samne Pehle Muhammad Ko Bithaya Hoga.
Phir Khuda Ne Ali Akbar Ko Banaya Hoga.
Hukam-e-Khaliq Hai Ke Hona Hai Nuzool-e-Akbar.
Husan Hi Husan Nazar Aaye Jidhar Jaye Nazar.
Saj Gaye Dono Jahan Kitna Haseen Hai Manzar.
Bich Gaya Farsh Pe Jab Arsh-e-Barin Tab Ja Kar.
Umm-e-Laila Ki Tamanaon Ka Mehwar Utra.
Noor Ke Saye Mein Shabeer Ka Akbar Utra.
Baap Se Betay Ki Jab Pehli Mulaqaat Hoi.
Aankhon Aankhon Mein Haseeno Ki Haseen Baat Hoi.
Noor-e-Akbar Ke Ujalon Mein Basar Raat Hoi.
Dekha Shabeer Ne Chehra Tu Ada Naat Hoi.
Jaisa Chaha Tha Mila Hai Mujhe Beta Waisa.
Mera Akbar Tu Nazar Aata Hai Nana Jaisa.
Payi Jab Aamad-e-Akbar Ki Khabar Zainab Ne.
Muskuratay Hoye Ki Rah Basar Zainab Ne.
Shams Ki Gaud Mein Dekha Jo Qamar Zainab Ne.
Khud Sitaron Se Utari Hai Nazar Zainab Ne.
Bhai Se Boli Behan Naik Samajh Kar Dedo.
Meri Aagosh Mein Bhaiyya Mera Akbar Dedo.
Le Ke Aagosh Mein Zainab Ne Kaha Kya Kehne.
Tera Chehra Teri Har Aik Ada Kya Kehne.
Teri Aankhon Mein Nazar Aaye Khuda Kya Kehne.
Khud Yeh Quran Bhi Deta Hai Sada Kya Kehne.
Jab Se Ghar Aaya Hai Tu Husan-e-Misali Ban Kar.
Chand Dehleez Pe Betha Hai Sawali Ban Kar.
Dekha Abbas Ne Chehra Jo Ali Akbar Ka.
Bolay Ik Our Sipahi Mere Lashkar Ko Mila.
Roab Aankhon Mein Nazar Aaya Jo Apne Jaisa.
Kamsini Mein Yeh Chalan Dekh Ke Ghazi Ne Kaha.
Kaisay Talwar Chalatay Hain Sikhaon Ga Issay.
Dekhna Sani-e-Abbas Banaon Ga Issay.
Kaha Shabeer Ne Sajad Se Aao Dekho.
Ali Akbar Ki Nazar Dhond Rahi Hai Tum Ko.
Chotay Bhai Ke Qareeb Aaya Bara Bhai Tu.
Muskuratay Hoye Akbar Se Kaha Kaisay Ho.
Hai Qasam Husan Ki Tu Itna Haseen Hai Akbar.
Tere Chehray Se Nazar Hatti Nahi Hai Akbar.
Dekho :ZEESHAN:-o-:RAZA: Kaisa Shabab Aaya Hai.
Nojawani Ke Gulistaan Mein Ghulab Aaya Hai.
Iss Liye Chehra-e-Akbar Pe Naqab Aaya Hai.
Koi Na Keh De Muhammad Ka Jawab Aaya Hai.
Sath Shabeer Ke Akbar Jo Kahin Jate Hain.
Oss Ke Dedar Ko Yousuf Bhi Chaley Aate Hain.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Manqabat Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#HussainKaAkbar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Shehzada Ali Akbar Manqabat Hussain Ka Akbar Syed Raza Abbas Zaidi