Rozadaro Qayamat Ke Din Hain Mesum Abbas Lyrics Urdu 2019
Rozadaro Qayamat Ke Din Hain Mesum Abbas.
Aye Roza Daro Aah-o-Boka Ke Yeh Roz Hain.
Sadaat Par Nuzool-e-Bala Ke Yeh Roz Hain.
Sar Taj-e-Aousiya Ki Azza Ke Yeh Roz Hain.
Tum Se Wida-e-Shair-e-Khuda Ke Yeh Roz Hain.
Roza Daro Qayamat Ke Din Hain.
Ibn-e-Muljam Ne Haider Ko Mara.
Hum Se Bichra Hai Maula Hamara.
Khak-e-Be Warsi Hai Saron Par.
Kalay Parcham Lagay Hain Gharon Par.
Hum Se Bichra Hai Maula Hamara.
Shab Yeh Uneeswin Kaisi Aayi.
Khoon Mein Doba Muhammad Ka Bhai.
Ro Raha Hai Sahar Ka Sitara.
Ibn-e-Muljam Sitam Kaisa Dhaya.
Qabar Mein Syeda Ko Rulaya.
Kaisay Bachoon Ka Ho Ga Guzara.
Taig Sar Pe Ali Ke Lagi Hai.
Aaj Shama-e-Imamat Bujhi Hai.
Dil Yateemo Ka Hai Parah Parah.
Maa Ke Marne Ka Gham Kam Nahi Tha.
Aik Koh-e-Alam Our Toota.
Soag Mein Ghar Hai Zahra Ka Sara.
Ghar Mein Haider Ke Aah-o-Fogaan Hai.
Eid Nazdeek Gham Ka Samaa Hai.
Aisa Ramzan Na Aaye Dobarah.
Umm-e-Kulsoom Zainab Se Bolein.
Aaj Baba Ne Aankhein Na Kholein.
Main Ne Shana Hila Kar Pukara.
Seena Kobi Ko :REHAN:-o-:MEESUM:.
Kyun Na Farsh-e-Azza Pe Chalein Hum.
Ghamzada Chaar So Hai Nazara.
Peshwayi: :Mirza Salamat Ali Dabeer:
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2018-19:
Composition: :Zil-e-Raza Zaidi:
#RozadaroQayamatKeDinHain
#NohayLyrics
#tajpoint