Aye Rozadaro Khaak Uraao Mesum Abbas Lyrics Urdu 2022
Aye Rozadaro Khaak Uraao Mesum Abbas.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Iss Din Ko Bhi Ashor Banao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Hasnain Se Karti Thin Boka Zainab-e-Kubra.
Taza Tha Abhi Madar-e-Dilgeer Ka Sadma.
Ab Dagh Yateemi Ka Uthao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Ik Simt Se Taboot Uthaein Gay Farishtay.
Our Mehway Boka Dosri Janib Se Hain Betay.
Salman-o-Abuzar Ko Bulao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Yeh Gham Bin-e-Muljim Ne Diya Aal-e-Nabi Ko.
Sajday Mein Kiya Qatal Mere Baba Ali Ko.
Aye Logo Mera Dard Batao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Baba Ne Dam-e-Rukhsat-e-Aakhir Yeh Kaha Tha.
Abbas Hai Zamin Meri Zainab Ki Rida Ka.
Ghazi Ko Yeh Ahsas Dilao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Taboot Mera Naqay Pe Kar Dena Rawana.
Ruk Jaye Jahan Naqa Wahin Qabar Banana.
Hai Waqt Wasiyat Ko Nibhao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Ab Kaun Bhala Saya-e-Dewar Baney Ga.
Bewaon Yateemo Ka Madadgar Baney Ga.
Kofay Ke Gareebon Ko Batao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Ikeeswin Ramzan Qayamat Ka Tha Manzar.
Thi Zainab-e-Muztar Ki Sada :MEESUM:-o-:MAZHAR:.
Ab Kaisay Jiyon Koi Batao.
Taboot Uth Raha Hai Janab-e-Ameer Ka.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2021-22:
Composition: :Mazhar Abidi:
#AyeRozadaro
#NohayLyrics
#tajpoint
Aye Rozadaro Khaak Uraao Mesum Abbas Lyrics Urdu 2022 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
