Waseyat-e-Ali Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu and Roman Urdu
وصیتِ علیؑ
Iss Pe Wajib Hai Amal Tum Yeh Na Hargiz Bholna Hai Wasiyat Yeh Ali Ki.
Door Kaisa Bhi Ho Lekin Ho Yeh Zehno Mein Sada Hai Wasiyat Yeh Ali Ki.
Waqt-e-Rukhsat Keh Gaye Haider Keh Neki Ko Barho.
Aye Musalmano Hamesha Ahl-e-Taqwa Mein Raho.
Aakhrat Hi Mangna Dunya Na Hargiz Mangna.
Ho Agar Mazloom Koi Chorna Oss Ka Na Sath.
Zalimo Our Zulm Ka Hargiz Kabhi Dena Na Sath.
Haq Ke Our Haq Daar Ke Hami Raho Ahl-e-Wila.
Yaad Rakhna Tum Ko Rakhna Hai Yateemo Ka Khiyal.
Cho Ke Bhi Unn Ko Na Guzrey Koi Faqa Our Malal.
Bujh Na Paye Aik Pal Ko Unn Se Ulfat Ka Diya.
Ho Namaz-e-Panjgana Masjidein Aabad Hoon.
Uthay Aawaz-e-Tilawat Dil Sabhi Ke Shad Hoon.
Haq Mein Hai Insan Ke Jo Bhi Hai Quraan Mein Likha.
Aik Jo Zarbat Lagai Ibn-e-Muljim Ne Mujhe.
Tum Bhi Badlay Mein Lagana Aik Hi Zarbat Ossay.
Toot Jaye Gar Meri Sansoon Ka Iss Se Silsila.
Bolay Shabar Se Tumhi Ho Ab Tu Ghar Ke Pasbaan.
Zainab-o-Kulsoom Our Sarwar Ke Bhi Ho Saibaan.
Har Qadam Par Ho Tumhara Hami-o-Nasir Khuda.
Phir Kaha Shabeer Se Ghazi Jo Hai Tera Akhi.
Sath Ho Ga Har Qadam Par Ban Ke Ab Saya Jarri.
Aaj Se Tere Hawalay Hai Yeh Mera Bawafa.
Murtaza Ki Jab Shahadat Yaad Aayi Hai Mujhe.
Dil Mein Uthi Hook Si Our Aankh Se Aanso Bahey.
Farsh-e-Majlis Par Yehi :IZHAR: Main Kehta Raha.
Poet: :Ali Izhar
Noha Khuwan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2020-21:
Composition: :Meesum Kashmiri:
#WaseyateAli
#NohayLyrics
#tajpoint