Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza Lyrics Urdu 2021

Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza Lyrics Urdu 2021

Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza

Bazar Mein Zainab Ka Jana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.
Sadaat Ka Woh Pathar Ka Khana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Baloon Se Chupaye Chehray Ko Bazar Jo Zainab Aaein Thin.
Afsoos Nawasi Ahmad Ki Kya Kya Na Wahan Kehlaein Thin.
Bagi Ki Behan Woh Kehlana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Woh Jis Ne Hamesha Ghar Mein Bhi Parday Mein Phophi Ko Dekha Tha.
Thi Sath Phophi Be Chadar Woh Kis Tarha Uthata Sar Apna.
Sajjad Ke Sar Ka Jhuk Jana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Bhai Ki Amanat Ko Zainab Kis Tarha Bachati Zalim Se.
Har Aik Qadam Par Bachi Ke Chehray Pe Tamachay Lagtay They.
Haye Woh Tamachon Ka Khana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Bazar Mein Behnein Be Pardah Bas Baat Yehi Tarpati Thi.
Zainab Ke Khulay Sar Par Haye Jis Waqt Nazar Par Jati Thi.
Abbas Ke Sar Ka Gir Jana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Darbar Bulaya Zalim Ne Abbas Ki Behno Ko Jis Dam.
Darbar Ki Jab Baat Aayi Tu Kehtin Thin Yehi Zainab Oss Dam.
Darbar Mein Amma Ka Jana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Kis Tarha Samajh Paye Koi Haye Woh Musibat Bhai Ki.
Masoom Sakina Ko Haye Zindaan Mein Qaza Jab Aayi Thi.
Kurtay Mein Behan Ko Dafnana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Pardais Se Lut Kar Ahl-e-Haram :ZEESHAN:-o-:LAEEQ: Aaye Jis Dam.
Marqad Pe Muhammad Ki Aa Kar Zainab Ne Kaha Ro Kar Oss Dam.
Pardais Ka Har Manzar Nana Yaad Aata Hai Dil Rota Hai.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Laeeq Raza:
Noha Volum: :Laeeq Raza 2020-21:
Composition: :Tasawwar Abbas Tashna:

#BazarMeZainabKaJana
#NohayLyrics
#tajpoint

Bazar e Sham Noha Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza

Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza Lyrics Urdu 2021 Write Up Poster Image

Bazar Me Zainab Ka Jana Laeeq Raza Lyrics Urdu 2021

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!