Bazar Mein Zainab Ne Marne Ki Dua Mangi Lyrics 2016

Bazar Mein Zainab Ne Marne Ki Dua Mangi Lyrics 2016

Bazar Mein Zainab Ne Marne Ki Dua Mangi Mir Hasan Mir.

Jab Sham Ke Logon Se Abid Ne Rida Mangi.

Rukhsar Sakina Ke Kuch Our Howay Neelay.
Jab Saye Mein Aane Ki Bachi Ne Riza Mangi.

Jo Rah Mein Chubhte The Abbas Ki Behno Ko.
Unn Kanton Ne Khud Ro Kar Mehdi Se Saza Mangi.

Haye Apne Liye Dono Ne Umat Se Na Kuch Manga.
Zainab Ne Kafan Manga Sarwar Ne Rida Mangi.

Ahsas-e-Yateemi Phir Hone Laga Zainab Ko.
Jab Ghazi Ne Bibi Se Marne Ki Riza Mangi.

Zalim Ne Talab Ki Hai Woh Bachi Kaneezi Mein.
Haye Shabir Ne Jo Beti Tujh Se Aye Khuda Mangi.

Ya Rab Mujhe Dikhla De Kaisi Hai Meri Sughra.
Yeh Aakhri Hichki Mein Akbar Ne Dua Mangi.

Haye Rakh Deti Thi Hath Apne Maa Bachi Ki Honton Par.
Jab Bali Sakina Ne Marne Ki Dua Mangi.

Sughra Ne Duaon Mein :SAJJAD: Na Kuch Manga.
Bad-e-Ali Akbar Jo Mangi Tu Qaza Mangi.

Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17:

#BazarMeinZainabNe
#NohayLyrics
#tajpoint

Bazar Mein Zainab Ne Marne Ki Dua Mangi Lyrics 2016 Write Up Poster Image

Bazar Mein Zainab Ne Marne Ki Dua Mangi Lyrics 2016

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!