Haram Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu 2021
Haram Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics
Qadam Jis Waqt Main Ne Karbala Ki Khak Par Rakha.
Tha Manzar Samne Do Bhaiyon Ki Badshahat Ka.
Main Jab Baab Ul Hawaij Ke Haram Ke Samne Pohancha.
Utha Kar Hath Ro Ro Kar Kaha Main Ne Salam Aaqa.
Bohat Toota Howa Hoon Pas Ab Mujh Ko Bola Lijiye.
Lipat Jaon Main Bachoon Ki Tarha Rozay Ki Jali Se.
Ziyarat Ki Tamana Mein Haram Tak Aa Gaya Hoon Main.
Ijazat Dijiye Darbar Mein Rakhon Qadam Maula.
Mere Dil Mein Ziyarat Ki Tarap Jis Dam Barhi Had Se.
Kareem-e-Karbala Se Yeh Kaha Tha Main Ne Ro Ro Ke.
Mere Sahib Mere Aaqa Kahin Yeh Chotay Hazrat Se.
Mujhe Zair Bana Dijiye Dikha Dijiye Haram Maula.
Khabar Jab Se Hoi Mujh Ko Bolawa Aa Gaya Mera.
Chala Ghar Se Yahan Pohancha Na Neend Aayi Na Chain Aaya.
Ajab Hai Kaifiyat Dil Ki Yaqeen Aata Nahi Mujh Ko.
Nazar Gunbad Ki Janib Hai Meri Aankhein Hain Nam Maula.
Koi Muslim Koi Hindu Koi Sikh Koi Esayi.
Tere Darbar Mein Koi Nahi Tafreeq Mazhab Ki.
Haram Ke Samne Aa Kar Adab Se Sar Jhukatay Hain.
Hain Sab Ki Aankh Mein Aanso Hai Sab Ke Dil Mein Gham Maula.
Yahan Apne Liye Maula Kahan Kuch Mangta Hoon Main.
Lipat Kar Aap Ki Turbat Se Rona Chahta Hoon Main.
Suna Hai Aap Ki Turbat Ali Asghar Ke Jaisi Hai.
Na Jane Aap Par Kya Kya Hoye Zulm-o-Sitam Maula.
Dar-e-Umm Ul-Baneen Ke Pas Ja Kar Baith Jaon Ga.
Suna Kar Aap Ka Noha Wahan Aanso Bahaon Ga.
Girey Jab Aap Ghorey Se Nahi They Aap Ke Bazu.
Raha Iss Baat Ka Bas Aap Ki Madar Ko Gham Maula.
Yahan Se Jaon Ga Maula Barey Maula Ke Rozay Par.
Bari Ghurbat Mein Mara Hai Jinhein Nu Lakh Ne Mil Kar.
Judai Aap Ki Seh Kar Kamar Khum Ho Gayi Haye.
Jinhein Akbar Ki Furqat Mein Nazar Aata Tha Kam Maula.
Kalejay Mein Sina Khaye Tarapta Tha Jahan Akbar.
Wahan Par Yaad Aaye Ga Mujhe Ghurbat Ka Woh Manzar.
Ali Akbar Yeh Kehte They Na Barchi Khainchiye Baba.
Padar Ki Gaud Mein Nikla Jawaan Betay Ka Dam Maula.
Jahan Khanjar Se Zalim Ne Gala Shabeer Ka Kata.
Wahan Satar Qadam Ka Fasila Bhai Behan Mein Tha.
Behan Ne Oss Ghari Kitna Pukara Aap Ko Haye.
Tarapti Reh Gayi Zainab Howa Jab Sar Qalam Maula.
Kaha :ZEESHAN: Ne Haye :RAZA: Woh Pal Rulaein Gay.
Aye Mere Bawafa Maula Yeh Din Jab Beet Jaein Gay.
Chala Jaon Ga Ghar Lekin Yahin Dil Chor Jaon Ga.
Mujhe Phir Se Bola Lena Sakina Ki Qasam Maula.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Tehat-ul-Lafz: :Jaaved Jaaferi – India:
Special Thanks: :Mulana Kalbe Rushaid – India:
#Haram
#NohayLyrics
#tajpoint