ٹ کریں -->

Shabbir Tera Matam Mesum Abbas Lyrics In Urdu 2021

Shabbir Tera Matam Mesum Abbas Lyrics In Urdu 2021

Shabbir Tera Matam Mesum Abbas Lyrics In Urdu

Mazloom-e-Karbala.
Zabeeh-e-Karbala.
Qateel-e-Nainawa.

Syedaniyaan Karti Hain Shabeer Tera Matam.
Aye Waris-e-Quranam Aye Shah-e-Shaheedanam.

-->

Be Sar Hain Sabhi Lashay Pamali Ki Zad Par Hain.
Jalti Hoi Reti Par Sadaat Khulay Sar Hain.
Our Noha Kuna Aalam Aye Shah-e-Shaheedanam.

Naizon Ka Ghana Jangal Our Raat Ka Sanata.
Pehrey Pe Nabi Zadi Karti Hai Yehi Noha.
La Char Hoye Ab Hum Aye Shah-e-Shaheedanam.

Beton Ko Nahi Roti Ghamkhuwar Teri Khwahar.
Ghazi Ko Bulati Hai Ik Hath Rakhay Dil Par.
Be Chain-o-Dil Afgaram Aye Shah-e-Shaheedanam.

Ab Lootney Aate Hain Sadaat Ko Yeh Zalim.
Kis Darjah Rolatay Hain Sadaat Ko Yeh Zalim.
Ab Jaein Kahan Purgham Aye Shah-e-Shaheedanam.

Haq Teri Muhabbat Ka Kulsoom Ada Karti.
Aoulad Agar Hoti Tu Tujh Pe Fida Karti.
Karti Hai Bapa Paihum Aye Shah-e-Shaheedanam.

Baba Hain Kahan Mere Hain Bain Sakina Ke.
Mar Jaon Gi Ro Ro Ke Bin Shah-e-Madina Ke.
Kya Iss Ko Bataein Hum Aye Shah-e-Shaheedanam.

Be Pardah Behan Teri Bazar Mein Jaye Gi.
Amma Ki Tarha Zainab Darbar Mein Jaye Gi.
Kya Iss Se Bara Hai Gham Aye Shah-e-Shaheedanam.

Humsheer Rasan Basta Jab Qaid Mein Jaye Gi.
Zindah Mein Tera Matam Ik Roz Karaye Gi.
Be Monis-o-Be Yaram Aye Shah-e-Shaheedanam.

Jee Bhar Ke Kiya Matam Abbas-e-Dilawar Ka.
Qasim Ali Asghar Ka Humshakal-e-Payamber Ka.
Ta Hashar Karein Gay Hum Aye Shah-e-Shaheedanam.

Yeh :MAZHAR:-o-:MEESUM: Ki Din Raat Azadari.
Manzoor Karein Zahra Yeh Nohon Ki Teyari.
Ik Pal Bhi Nahi Ho Kam Aye Shah-e-Shaheedanam.

Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2021-22:
Composition: :Mesum Abbas:

#ShabbirTeraMatam
#NohayLyrics
#tajpoint

Shabbir Tera Matam Mesum Abbas Lyrics In Urdu 2021 Write Up poster Image

Shabbir Tera Matam Mesum Abbas Lyrics In Urdu 2021

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!