Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

قربان دِل و جان میرے حُسینؑ

Muhabbaton Ki Inteha, Hai Tujh Se Ibn-e-Syeda,
Hamari Rooh Mein Basa, Ajab Hai Rishta-e-Wafa,
Hai Tera Ishq Inteha, Nisar Tujh Pe Do Jahan,
Kahin Zameen-o-Aasmaan, Yeh Tifal Peer Our Jawaan,.
Jab Talak Sans Chale, Yeh Azadari Rahe,
Gham-e-Hayat Ka Hai Tu Hi Nasab Alain,
Jab Tak Jeein Gay Tujh Pe Marein Gay.
Kartay Rahein Ahl-e-Azza Bas Yehi Ayelan.
So Bar Zindagi Agar Mile, So Bar Fida Tujh Pe Ya Hussain.
Jan Fida Karne Ko Teyar Rahein Gay.
Majlis-o-Matam Ke Talabgar Rahein Gay.
Zahra Ke Bachoon Se Wafadar Rahein Gay.
Tu Ne Kiya Aisa Kaam, Tujh Pe Darood-o-Salam.
Teri Muhabbat Mein Giraftar Rahein Gay.
Kartay Rahein Ahl-e-Azza Bas Yehi Ayelan.
Tere Azadar Tu Zahra Ki Dua Hain.
Jan Hatheli Pe Rakhay Mehway Boka Hain.
Maula Tere Naam Pe Maa Baap Fida Hain.
Fakhar Se Kehte Hain Hum, Jab Bhi Sajaein Alam.
Saya Figan Dast-e-Alamdar-e-Wafa Hai.
Ab Yeh Qadam Rook Nahi Paein Gay Tofan.
Bint-e-Nabi Aati Hain Jab Farsh-e-Azza Par.
Jati Hain Woh Ashkon Ko Romal Mein Le Kar.
Matami Halqoon Ko Dua Deti Hain Ro Kar.
Itna Bara Martaba, Ahl-e-Azza Ko Mila.
Aa Gayi Be Sakhta Yeh Baat Zabaan Par.
Kehte Rahein Hum Bhi Aqeedat Se Yeh Farman.
Hum Oss Pe Fida Hain Jo Tujh Pe Fida Hai.
Hum Ho Gaye Oss Ke Jo Tera Howa Hai.
Tafseer-e-Kisa Hai Khaliq Ne Kaha Hai.
Shabeer Ka Dushman, Dushman Hi Mera Hai.
Yeh Syed Meri Jaan Deen Ke Roh-e-Rawaan.
Yeh Sabhi Arz-o-Samaa Hain Tere Madah Sara.
Hum Ne Zamane Ko Yehi Dars Diya Hai.
Ishq Ho Dar-e-Aal-e-Nabi Se Tu Maza Hai.
Hur Ki Jo Manzil Hai Aqeedat Ka Sila Hai.
Hur Tha Bashar Woh Bhi Aam, Aaj Alh Aslam.
Bad-e-Shahadat Bhi Yehi Hur Ne Kaha Hai.
Pora Kiya Hum Ne Dil-e-Zahra Ka Arman.
Kaisay Bhala Haq Ka Biyaan Rook Sakay Gi.
Kaisay Muhabbat Ki Zabaan Rook Sakay Gi.
Kya Tere Nohon Ki Azaan Rook Sakay Gi.
Rah Mein Dewar Hain, Tere Azadar Hain.
Dunya Tere Gham Ko Kahan Rook Sakay Gi.
Teri Azza, Teri Wila Markaz-e-Eman.
Taziya, Taboot, Alam Our Amari.
Zindah Jaloson Mein Hain Tehzeeb Hamari.
Rah Mein Har Simt Sabeelein Bhi Hain Jari.
Jaisay Bhi Halaat Hoon, Lakh Sawalaat Hoon.
Rasam-e-Azza Hai Yeh Humein Jan Se Pyari.
Bas Yeh Rasomat Shifat Ka Hai Saman.
Qaul-e-Nabi Aala Sifaat, Kaisay Mukamal Hai Yeh Baat.
Tu Hi Hidayat Ka Cherag, Tu Hi Safena e Nijat.
Tu Hi Rasta Tu Hi Manzil Hai Tu Hi Rahnuma.
Yeh Croron Tere Zair De Rahe Hain Yeh Sada.
Arbaeen Ke Yeh Manazir Bar Sar-e-Karb-o-Bala.
Tere Parcham Ko Uthaye Hain Sabhi Mehway Boka.
Tere Sab Ashab Mawaddat Ke Musafir.
Apna Watan Chor Ke Aaye Teri Khatir.
Dasht-e-Biyabaan Mein Sabhi Ho Gaye Hazir.
Sahib-e-Eman Hain, Dasht Pe Qurban Hain.
Jaun, Zuhair Our Habib Ibn-e-Mazahir.
Sab Ke Labon Par Hai Sada Bar Sar-e-Maidan.
Aik Ke Baad Aik Gaye Sar Ko Katanay.
Tu Ne Kharedi Jo Zameen Oss Ko Sajane.
Jab Tu Gaya Lashon Ke Maidaan Se Uthane.
Lashon Ne Ro Kar Kaha, Dijiye Maula Dua.
Karb-o-Bala Aaye They Hum Wadah Nibhanay.
Suntay Hain Lashon Ki Sada Syed-e-Zeeshan.
Kaisay Musayab Hain Suno :MEESUM:-o-:MAZHAR:.
Akbar-o-Abbas Hoon Ya Qasim-o-Asghar.
Aoun-o-Muhammad Hoon Keh Muslim Ke Do Dilbar.
Sab They Ghareeb Ul Watan, Khak Pe They Be Kafan.
Kehta Tha Shabeer Se Har Lasha-e-Be Sar.
Maula Tere Baad Nahi Jeene Ka Arman.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2023-24:
Composition: :Mesum Abbas and Mazhar Abidi:
#QurbanDiloJaan
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!