Baba Teri Zahra ko Ummat Ne Bara Tarpaya Hai Fatemah Ladak Lyrics Urdu 2022
Baba Teri Zahra ko Ummat Ne Bara Tarpaya Hai Fatemah Ladak.
Baba Teri Zahra Ko Ummat Ne Bara Tarpaya Hai.
Tere Baad Madine Walon Ne Darbar Mujhe Bulwaya Hai.
Iss Tarha Hoi Tazeem Meri Masjid Mein Koi Utha Hi Nahi.
Teri Sachi Beti Ko Baba Tere Nokaron Ne Jhutlaya Hai.
Aayat Bhi Sun Kar Hanstay Rahe Masoom Gawahi Rad Kar Di.
Tehreer Teri Ko Chak Kiya Khali Mujh Ko Lautaya Hai.
Haider Ko Nahi Maloom Abhi Jo Haal Hai Mere Pehlu Ka.
Har Lamha Jeeti Marti Hoon Ab Sar Pe Qaza Ka Saya Hai.
Hai Meri Dua Pochay Na Kahin Mujh Se Rodad Tamachay Ki.
Kulsoom Our Zainab Se Main Ne Chehray Ka Neel Chupaya Hai.
Durron Ki Aziyat Seh Seh Ke Tooti Hain Pasliyaan Zahra Ki.
Mera Mohsin Qatal Howa Youn Ajar-e-Risalat Paya Hai.
Baloon Ki Safaidi Ne Oss Ko Sab Haal Sunaya Peshi Ka.
Darbar Ka Manzar Zainab Ko Zahra Ne Kahan Batlaya Hai.
Baba Jis Ladli Beti Ko Tum Umm-e-Abeeha Kehte They.
Ummat Ne Kabhi Marey Durray Kabhi Oss Pe Hath Uthaya Hai.
Kehte Hain Loag Madine Ke Main Raat Mein Royon Ya Din Mein.
Ik Waqt Mein Soag Mananay Ka Ummat Ne Hukam Sunaya Hai.
:MUHSIN: Yeh Kehti Thi Zahra Yeh Dard Na Mujh Ko Bholay Ga.
Beton Ke Samne Zalim Ne Zahra Pe Hath Uthaya Hai.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Fatemah Ladak:
Noha Volume: :Fatemah Ladak 2021-22:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#BabaTeriZahrako
#NohayLyrics
#tajpoint