Meray Ghazi Mein Likhon Keisay Qasida Tera Syed Sajjad Naqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
میرے غازیؑ مَیں لکھوں کیسے قصیدہ تیرا
Tu Wafaon Ka Samandar Hai Main Ik Qatra Hoon.
Doob Jaon Na Kahin Soch Ke Yeh Darta Hoon.
Teri Khatir Tere Baba Ne Duaein Ki Hain.
Roh-e-Zahra Ne Teri Aa Ke Balaein Li Hain.
Fatah-e-Khaybar-o-Khandaq Ki Jhalak Hai Tujh Mein.
Our Hasnain Ke Chehray Ki Chamak Hai Tujh Mein.
Khandan-e-Bani Hashim Ka Ujala Tu Hai.
Jis Ko Manga Hai Ali Ne Woh Jiyala Tu Hai.
Tujh Ko ALLAH Ne Bakhsha Hai Nirala Rutba.
Tujh Ko Masooma-e-Aalam Ne Kaha Hai Beta.
Tu Ne Iss Tarha Se Pani Pe Kiya Hai Qabza.
Ab Laga Sakta Nahi Koi Sitamgar Pehra.
Teri Zainab Se Zamane Mein Haya Baqi Hai.
Tera Sadqa Hai Jahan Mein Jo Wafa Baqi Hai.
Tere Baba Ne Tujhe Gaud Mein Apni Le Ke.
Nanhay Nanhay Tere Bazu Ke Liye Hain Bosay.
Our Phir Chom Ke Peshani Yeh Bolay Maula.
Yeh Mera Chand Sa Farzand Jawaan Jab Hoga.
Aisa Be Misal Zamane Mein Yeh Ghazi Hoga.
Aik Lashkar Nahi Dunya Pe Yeh Bhari Hoga.
Mere Maqsad Ki Har Ik Gaam Hifazat Karna.
Mere Shabeer Ki Ta Umar Hamayat Karna.
Deen-e-Islam Bananey Mera Lal Uthay Ga.
Mere Shabeer Se Baiyat Ka Sawal Uthay Ga.
Marna Aisa Tamacha Ke Na Phir Bool Sakay.
Hashar Tak Koi Yazeedi Na Zabaan Khol Sakay.
Phir Barey Pyar Se Betay Ki Hai Mothi Kholi.
Khol Kar Mothi Kayi Bar Ali Ne Chomi.
Phir Imamat Ki Nigahon Se Woh Panja Dekha.
Nanhay Panjay Ko Hai Phir Apne Labon Par Rakha.
Pehle Maula Ne Wafadari Ka Iqrar Liya.
Our Phir Apni Shujat Ka Bharam Sonp Diya.
Aisay Maula Ki Madah Kya Yeh Karey Ga :HANI:.
Pyasa Khud Reh Ke Jo Darya Ko Pilaye Pani.
Pori Tareekh Mein Yeh Aik Sakhi Aisa Hai.
Go Nahi Hath Magar Phir Bhi Atta Karta Hai.
Jo Lara Roab-e-Nazar Se Woh Dilawar Yeh Hai.
Jis Se Serab Hain Darya Woh Samandar Yeh Hai.
Poet: :Hani Hallori:
Manqabat Khuwan: :Syed Sajjad Naqvi:
Manqabat Volume: :Syed Sajjad Naqvi 2021-22:
#MerayGhazi
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com