Main Rahun Ya Na Rahun Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2009
Main Rahun Ya Na Rahun Nadeem Sarwar.
Aye Foaj-e-Ashqiya Mera Islam Rahe Ga.
Quran Rahe Ga Mera Paigham Rahe Ga.
Jab Zohar Tak Hussain Bahatar Ko Ro Chukay.
Akbar Ko Ro Chukay Ali Asghar Ko Ro Chukay.
Ik Dopahar Mein Bawafa Lashkar Ko Ro Chukay.
Phir Foaj-e-Bad Nasab Se Mokhatib Hoye Imam.
Hujjat Tamam Karta Hoon Sun Lo Mera Paigham.
Farmatay They Hussain Keh Main Be Qasoor Hoon.
Roshan Hai Tum Pe Chashm-e-Payamber Ka Noor Hoon.
Faqoon Se Main Nidhal Hoon Zakhmo Se Noor Hoon.
Zakhmo Pe Zakhm Pyas Ki Shiddat Main Khaon Ga.
Lekin Main Nana Jan Se Wadah Nibhaon Ga.
Darya Ko Tum Ne Cheen Liya Main Ne Kuch Kaha.
Pani Dikha Dikha Ke Piya Main Ne Kuch Kaha.
Dagh Akbar-e-Jawaan Ka Diya Main Ne Kuch Kaha.
Haq Par Hoon Mere Haq Mein Sina Bool Rahi Hai.
Sun Lo Woh Azaan Meri Zabaan Bool Rahi Hai.
Maqsad Hai LaIlaha Ki Baqa Our Kuch Nahi.
Wadah Ho Zair-e-Taig Wafa Our Kuch Nahi.
Iss Ke Siwa Labon Pe Dua Our Kuch Nahi.
Razi Ho Mujh Se Mera Khuda Chahta Hoon Main.
Main Hoon Hussain Sab Ka Bhala Chahta Hoon Main.
Maqsad Nahi Hai Jang Hamara Khuda Gawah.
Khat Bhaij Ke Hai Tum Ne Bulaya Khuda Gawah.
Be Jurm Tum Ne Mujh Ko Sataya Khuda Gawah.
Khanjar Talay Buland Main Takbeer Karon Ga.
Apne Lahu Se Khak Pe Tehreer Karon Ga.
Main Our Karon Yazid Ki Baiyat Nahi Nahi.
Badlon Ajal Ke Dar Se Shariyat Nahi Nahi.
Jeene Ke Badlay Choron Shahadat Nahi Nahi.
Tum Kaun Ho Naqab Rukhon Se Hataon Ga.
Main Kaun Hoon Yeh Nook-e-Sina Par Bataon Ga.
Aa Kar Dar-e-Khiyam Pe Zainab Ko Di Sada.
Aa Aye Meri Ghareeb Behan Aa Qareeb Aa.
Le Aakhri Salam Hussain-e-Ghareeb Ka.
Maqsad Hai Mera Kya Yeh Sabaq Tujh Ko Yaad Hai.
Meri Shareek-e-Kar Mujhe Etimad Hai.
Zainab Tarap Ke Boli Keh Bhaiyya Samajh Gayi.
Bhaiyya Tere Isharey Ko Behna Samajh Gayi.
Main Kya Teri Ghareeb Sakina Samajh Gayi.
Khutboon Se Main Hilaoan Gi Qasar-e-Yazid Ko.
Marne Na Doon Gi Ab Main Kissi Bhi Shaheed Ko.
Utha Ghubar-e-Zulm Karaktin Hain Bijliyaan.
Zeen Se Girey Hussain Uthein Surkh Aandhiyaan.
Nagah Sar Hussain Ka Aaya Sar-e-Sina.
Quraan Suna Ke Syed-e-Mazloom Ne Kaha.
Lo Nana Jan Wadah Wafa Main Ne Kar Diya.
Aye :SARWAR:-o-:REHAN: Yeh Lamha Ajeeb Hai.
Naizay Pe Lab Kusha Yeh Hussain-e-Ghareeb Hai.
Zainab Tumhari Sham-e-Ghareebaan Qareeb Hai.
Sab Kuch Tere Hawalay Hai Ab Tum Sanbhalna.
Apna Khiyal Rakhna Sakina Ko Palna.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2008-2009:
#MainRahunYaNaRahun
#NohayLyrics
#tajpoint
Main Rahun Ya Na Rahun Nadeem Sarwar