Mazloom Ka Matam Hai Kazmi Brothers Lyrics Urdu 2022
Mazloom Ka Matam Hai Kazmi Brothers
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga.
Yeh Aisa Diya Hai Jo Hawaon Mein Jalay Ga.
Rukhsar-e-Yazeedi Pe Lagay Ga Woh Tamacha.
Jo Hath Azadar Ke Seene Pe Paray Ga.
Sheh Bolay Yeh Hathoon Pe Utha Kar Sar-e-Maqtal.
Hai Kaun Jo Asghar Se Mere Baad Karey Ga.
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain.
Sada Rahe Ga Hussain Ka Gham.
Yeh Shor-e-Giriya Yeh Shor-e-Matam.
Zahra Ki Dua Hai Yeh Matam.
Yeh Matam Kaisay Ruk Jaye.
Seh Roz Ke Pyason Se Yeh Pani Ka Hai Wadah.
Konain Mein Ab Koi Bhi Pyasa Na Rahe Ga.
Hur Ban Ke Koi Aaye Tu Shabeer Ki Janib.
Yeh Aisa Gharana Hai Jo Mango Gay Miley Ga.
Akbar Ne Kaha Sheh Se Ulat Doon Ga Main Lashkar.
Baba Mujhe Do Ghont Agar Pani Miley Ga.
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain.
Badshah-e-Karbala Deen Ka Hai Aasra.
Teri Majlis Tera Matam Zindagi Hai Ya Hussain.
Qayam Ko Zarra Aane Do Ghaibat Se :TAKALLUM:.
Ik Halqa Abhi Khana-e-Kaba Mein Lagay Ga.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Kazmi Brothers:
Noha Volume: :Kazmi Brothers 2022-23:
Composition: :Raza Shah:
#MazloomKaMatamHai
#NohayLyrics
#tajpoint