Na Mile Ga Tujhe Shabbir Sa Bhai Zainab Nadeem Sarwar Lyrics 1998
Na Mile Ga Tujhe Shabbir Sa Bhai Zainab Nadeem Sarwar.
Dhondne Jaye Gi Gar Sari Khudai Zainab.
Apne Ashkon Se Jala Sham-e-Ghareebaan Ke Charag.
Tu Hai Atharah Charagon Ki Ikayi Zainab.
Jane Kya Sham-e-Ghareebaan Mein Sitam Totay Hain.
Umar Bhar Chain Se Phir So Nahi Payi Zainab.
Do Pisar Tu Ne Tu Do Bazu Diye Ghazi Ne.
Pehle Tu Rasam-e-Wafa Tu Ne Nibhai Zainab.
Surkh Yeh Kis Ke Lahu Se Hoi Poshaak Teri.
Lash Kya Seene Se Akbar Ki Lagai Zainab.
Pani Ko Dekh Ke Kyun Kar Na Jigar Tukray Ho.
Kha Gayi Hai Tere Ghazi Ko Tarai Zainab.
Haye Kis Shan Se Nikli Thi Watan Se Zainab.
Kaisi Ghurbat Ko Sametay Hoye Aayi Zainab.
Roh-e-Abbas-e-Alamdar Na Tarpay Kyun Kar.
Be Rida Sham Ke Darbar Mein Aayi Zainab.
Sare Gham Bhool Gaye :SARWAR-o-REHAN: Magar.
Farsh-e-Gham Hai Tere Bhai Ki Bichayi Zainab.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1997-98:
#ShabbirSaBhaiZainab
#NohayLyrics
#tajpoint