Achey Merey Baba Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010
Achey Merey Baba Nadeem Sarwar Lyrics
Haye Kya Alam-e-Tanhai Hai.
Jab Aakhri Rukhsat Ko Chaley Syed-e-Wala.
Kuhram Tha Dil Hotey They Gham Se Tah-o-Bala.
Shabeer Ne Godi Se Sakina Ko Utara.
Ghazi Ko Kabhi Akbar-o-Qasim Ko Pukara.
Baba Ko Qasam De Ke Bulati Thi Sakina.
Sar Peetti Pichey Chali Jati Thi Sakina.
Achay Mere Baba Haye Kya Alam-e-Tanhai Hai.
Achay Mere Baba Na Sakina Se Chupana Kahin Door Na Jana.
Dil Rota Hai Kyun Pehna Hai Malboos Porana Kahin Door Na Jana.
Iss Tarha Safar Par Koi Jata Nahi Dekha.
Pehne Tumhein Aisa Kabhi Kurta Nahi Dekha.
Main Jan Gayi Aaj Hai Maqtal Mein Thikana.
Kahin Door Na Jana.
Sheh Bolay Main Qurban Meri Jan Sakina.
Ik Wadah Hai Jo Aaj Nibhana Hai Sakina.
Khaimon Se Nikal Kar Na Humein Dhondne Aana.
Kahin Door Na Jana.
Kal Raat Se Be Chain They Main Dekh Rahi Thi.
Main Seene Pe Leti Thi Magar Soyi Kahan Thi.
Ab Samjhi Tumhein Hum Se Bohat Door Hai Jana.
Kahin Door Na Jana.
Aata Hai Nazar Haal Ghareebi Ka Tumhari.
Lagta Hai Yeh Saman Yateemi Ka Hamari.
Baba Humein Jeene Nahi Deta Yeh Zamana.
Kahin Door Na Jana.
Akbar Kabhi Asghar Kabhi Qasim Ne Rulaya.
Jo Ran Ko Gaya Aaj Palat Kar Nahi Aaya.
Bholi Nahi Ab Tak Main Chacha Jan Ka Jana.
Kahin Door Na Jana.
Pehlu Se Sheh-e-Dein Ke Na Hatti Thi Sakina.
Daman Kabhi Qadmo Se Lipatti Thi Sakina.
Tarpaya Hai Yeh Aap Ka Daman Ko Chorana.
Kahin Door Na Jana.
Aye :SARWAR-o-REHAN: Yeh Kehne Lagay Sarwar.
Hum Bhi Wahin Jate Hain Jahan Sotay Hain Asghar.
Beti Phophi Amma Ko Na Ro Ro Ke Rolana.
Kahin Door Na Jana.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2009-10:
#AcheyMereyBaba
#NohayLyrics
#tajpoint
Old Noha Achey Merey Baba Nadeem Sarwar Lyrics