Aey Azadar e Hussaini Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010
Aey Azadar e Hussaini Nadeem Sarwar.
Zindah Rahe, Zindah Rahe, Zindah Rahe.
Aye Azadar-e-Hussaini Yeh Chalan Zindah Rahe.
Haan Azakhaney Sajane Ki Lagan Zindah Rahe.
Jab Azakhana Sajay Tu Dil Banay Farsh-e-Azza.
Dharkano Mein Matam-e-Shah-e-Zaman Zindah Rahe.
Noha Khuwaan Matam Ke Saye Mein Safar Kartay Rahein.
Har Bayaz-e-Gham Khulay Har Anjuman Zindah Rahe.
Rooz-e-Ashora Jaloos-e-Gham Ko Kya Rahat Se Kam.
Yaad Mein Pyasay Aseeron Ki Thakan Zindah Rahe.
Aye Azadaro Chalo Mashk-o-Alam Ke Saye Mein.
Yeh Tajamul Yeh Hasham Yeh Baak Pan Zindah Rahe.
Jis Jagah Thi Maut Aasaan Zindagi Dushwar Thi.
Haan Wahan Zahra Ke Sare Gul Badan Zindah Rahe.
Sab Azakhaney Hamarey Sab Hi Apni Majlisein.
Aye Dua-e-Syeda Yeh Apna Pan Zindah Rahe.
Chotay Chotay Se Alam Bachoon Ke Hathoon Mein Rahein.
Dil Mein Taboot-e-Sakina Ki Chubhan Zindah Rahe.
Kar Rahe Hain Yeh Dua Zair-e-Alam :SARWAR: :HILAL:.
Aye Khuda Yeh Gham Ba Faiz-e-Panjtan Zindah Rahe.
Poet: :Dr Hilal Naqvi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2009-10:
#AeyAzadareHussaini
#NohayLyrics
#tajpoint