Paltay Zindaan Se Tu Zanjeer Utha Ke Ley Aaye Hasan Sadiq Lyrics 1994
Paltay Zindaan Se Tu Zanjeer Utha Ke Ley Aaye Hasan Sadiq.
Khuwab-e-Ajdad Ki Tabeer Utha Kar Le Aaye.
Ran Se Lash-e-Ali Akbar Ko Na Laye Shabeer.
Khak Se Nana Ki Tasveer Utha Kar Le Aaye.
-->
Tum Se Lash-e-Ali Akbar Na Uthay Gi Bhaiyya.
Hukam Do Zainab-e-Dilgeer Utha Kar Le Aaye.
Shah Ne Asghar Ko Tu Dafna Diya Maqtal Mein Magar.
Shahrbanu Ke Liye Teer Utha Kar Le Aaye.
Lut Ke Sab Ahl-e-Haram Aaye Watan Mein Lekin.
Mustaqil Dard Ki Jageer Utha Kar Le Aaye.
Rab Ne :REHAN: Kiya Nama-e-Amal Talab.
Hum Gaye Nohon Ki Tehreer Utha Kar Le Aaye.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1994-95:
#PaltayZindaanSe
#NohayLyrics
#tajpoint
Paltay Zindaan Se Tu Zanjeer Utha Ke Ley Aaye Hasan Sadiq Lyrics 1994 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
