Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2007

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2007

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu

Jab Khatama Ba Khair Howa Foaj-e-Shah Ka.
Kausar Pe Qafila Gaya Pyasi Sipah Ka.
Ghar Lut Gaya Janab-e-Risalat Panah Ka.
Khak Urr Rahi Thi Haal Tha Yeh Bargah Ka.
Haye Maqtal Mein Aaein Fatima Zahra Barehna Sar.
Chilaein Zair-e-Taig Hai Baba Mera Jigar.

Unees So Hain Zakhm Tan-e-Chak Chak Par.
Zainab Nikal Hussain Tarapta Hai Khak Par.
Haye Pohanchi Behan Jo Bhai Ke Maqtal Mein Noha Gar.
Dekha Sar-e-Hussain Hai Naizay Ki Nook Par.
Sadqay Gayi Luta Gaye Ghar Wadah Ga Mein.
Haye Junbish Labon Ko Hai Abhi Zikar-e-Illa Mein.

Mera Wadah Howa Pora Nana Mein Nook-e-Sina Par Hoon.

Nana Dekho Nawasa Kahan Aa Gaya.
Main Ne Karb-o-Bala Ko Mualla Kiya.
Khoon Mera Aaj Khak-e-Shifa Ban Gaya.
Main Ne Bachpan Ka Wadah Wafa Kar Diya.

Mera Ghar Mere Bachay Meri Zindagi.
Aap Ke Dein Pe Sab Main Ne Qurban Ki.
Mere Mathay Pe Bosa Do Ab Aakhri.
Bar Sar-e-Nook-e-Naiza Sawari Chali.

Deen-o-Quraan Bachay Tera Kaba Bacha.
Ta Qayamat Rahe Gi Azaan Ki Sada.
Madrasa Ban Gayi Aaj Se Karbala.
Haye Nana Magar Mera Ghar Na Raha.

Chakiyaan Peesney Wali Maa Ki Qasam.
Meri Aagosh Mein Tora Akbar Ne Dam.
Kaisay Lash-e-Jawaan Laya Soye Haram.
Apne Waday Pe Sehta Raha Gham Pe Gham.

Kitne Lashay Uthaye Hain Ik Roz Mein.
Kitne Aanso Bahaye Hain Ik Roz Mein.
Sainkaron Teer Khaye Hain Ik Roz Mein.
Sare Waday Nibhaye Hain Ik Roz Mein.

Bhai Batees Barson Se Jo Sath Tha.
Main Ne Wadah Nibhanay Mein Woh Kho Diya.
Kha Gayi Oss Ke Shano Ko Yeh Alqama.
Woh Gaya Our Dard-e-Kamar De Gaya.

Mere Nana Yeh Dulha Yeh Kamsin Jawaan.
Aisay Ronda Gaya Dasht Mein Al-Amaan.
Apne Betay Ko Pehchan Payi Na Maa.
Oss Ki Dulhan Ne Khud Toor Dein Choriyaan.

Haan Woh Asghar Jo Sughra Ki Thi Zindagi.
Jis Ki Khatir Woh Beemar Bachi Meri.
Chotay Chotay Se Kurtay Jo Seeti Rahi.
Oss Ka Khoon Apne Chehray Pe Mal Ke Abhi.

Mere Nana Sakina Ka Gham Dekhiye.
Umar Itni Si Itnay Sitam Dekhiye.
Jalti Reti Pe Oss Ke Qadam Dekhiye.
Kitne Majboor Hain Aaj Hum Dekhiye.

Sham :REHAN-o-SARWAR: Jo Dhalney Lagi.
Sar Se Shabeer Ke Yeh Sada Aati Thi.
Aye Behan Ab Yahan Se Qayadat Teri.
Mere Waday Ki Khatir Zarori Hoi.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2006-07:

#MeraWada
#NohayLyrics
#tajpoint

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu Old Noha

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2007 Write Up Poster Image

Mera Wada Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2007

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!