Zahra Dikhayi De Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2023
Zahra Dikhayi De Syed Mohammad Shah.
Woh Ghar Keh Jis Mein Har Koi Aala Dikhai De.
Oss Ghar Mein Bhi Bas Aik Hi Zahra Dikhai De.
Aa Jata Hai Batool Ki Chokhat Pe Jibraeel.
Jab Chahta Hai Arsh-e-Mualla Dikhai De.
Qurban Bait-e-Zahra Pe Sari Bulandiyaan.
Dar Jis Ka Koh-e-Toor Se Oncha Dikhai De.
Chandi Ka Kya Hai Fizza Agar Fatima Kahin.
Mati Bhi Tere Hath Mein Sona Dikhai De.
Aye Daman-e-Batool Taharat Tere Nisar.
Aanchal Tera Ali Ko Musalla Dikhai De.
Aye Zulfiqar Kaun Si Aankhein Hain Tere Pas.
Mehshar Talak Ka Har Tujhe Shajrah Dikhai De.
Jitna Dar-e-Batool Se Mil Jaye Ilm-e-Gaib.
Nabiyon Ko Bhi Bas Utna Zamana Dikhai De.
Do Lafz Parh Liye Tu Yeh Aalam Garor Ka.
Mulla Yeh Chahta Hai Keh Maula Dikhai De.
Aisay Hai Hur Ke Mathay Pe Romal-e-Fatima.
Kabay Pe Jaisay Kabay Ka Pardah Dikhai De.
:AKBAR: Woh Mustafa Keh Jo Ummat Ka Baap Hai.
Zahra Ossay Bhi Umm-e-Abeeha Dikhai De.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Master Syed Mohammad Shah:
Manqabat Volume: :Master Syed Mohammad Shah 2022-23:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#ZahraDikhayiDe
#ManqabatLyrics
#tajpoint