Beemar Ki Aankhen Hain Akbar Teri Rahon Par Hasan Sadiq Lyrics 1997
Beemar Ki Aankhen Hain Akbar Teri Rahon Par Hasan Sadiq.
Dewarein Bhi Roti Hain Sughra Ki Karahoon Par.
Sughra Ne Kaha Mujh Ko Ik Bar Jo Mil Jaein.
Sar Apna Main Rakh Doon Gi Bhaiyya Tere Paon Par.
Kyun Bhool Gaye Bhaiyya Sughra Ki Khata Kya Hai.
Aawaz Nahi Detey Kyun Meri Sadaon Par.
Woh Khud Hi Samajh Le Gi Hai Mara Gaya Bhai.
Dekhey Gi Nishaan Jis Dam Zainab Teri Banhoon Par.
Dekha Keh Lahu Mein Hai Doba Howa Sab Kunba.
Kya Khuwab Utar Aaya Sughra Ki Nigahon Par.
Pyasay Rahe Jab Akbar Barsi Na Ghata Koi.
Afsoos Karey Dunya Ab Aisi Ghataon Par.
Hai Dhop Mein Jis Din Se Lasha Ali Akbar Ka.
Maa Ashk Girati Hai Har Pair Ki Chaon Par.
:REHAN: Mujhe Kya Ho Ab Khof Qayamat Ka.
Jab Mera Aqeeda Hai Zahra Ki Ataon Par.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1996-97:
#BeemarKiAankhen
#NohayLyrics
#tajpoint