Khat Fatima Sughra Ne Ye Baba Ko Likha Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1994
Khat Fatima Sughra Ne Ye Baba Ko Likha Hai Hasan Sadiq.
Beemar Hoon Marti Hoon Yeh Sab Tum Ko Pata Hai.
Jis Roz Se Dekha Hai Muharram Ka Niya Chand.
Yeh Kaisay Likhon Baba Keh Dil Doob Gaya Hai.
Wadah Tu Kiya Wadah Nibhanay Nahi Aaye.
Beemar Se Kis Baat Pe Munh Phair Liya Hai.
Baba Mujhe Dasti Hai Yeh Tanhai Watan Ki.
Yeh Ghar Ki Udasi Hai Tu Phir Qabar Mein Kya Hai.
Laut Aate Hain Ghar Sham Ke Hotey Hi Parinday.
Kunba Mera Kyun Ab Bhi Safar Mein Hi Raha Hai.
Tum Jab Se Gaye Ghar Se Yeh Ghar Qabar Hai Meri.
Main Zindah Hoon Aisay Keh Koi Lasha Para Hai.
Baba Mere Asghar Ka Tu Kuch Haal Sunao.
Oss Be Zabaan Ne Mujh Ko Kabhi Yaad Kiya Hai.
Dekha Hai :HASAN SADIQ:, :REHAN: Ke Nohon Mein.
Ashkon Ka Samandar Hai Jo Palkon Pe Ruka Hai
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1994-95:
Composition: :Hasan Sadiq:
#KhatFatimaSughraNe
#NohayLyrics
#tajpoint