Kazim E Muztar Shahid Baltistani Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کاظمِ مضطر کو تڑپایا گیا
Qaid Mein Chodah Baras Zulm-o-Sitam Dhaya Gaya.
Kazim-e-Muztar Ko Tarpaya Gaya.
Phir Nishan-e-Ismat-e-Sadaat Mitwaya Gaya.
Qaid Kar Ke Le Ke Aaye Kazim-e-Noshad Ko.
Phir Azadar-e-Janab-e-Syed-e-Sajjad Ko.
Paon Mein Beri Galay Mein Tauq Pehnaya Gaya.
Yaad Abid Ki Aseeri Aa Gayi Rotay Rahe.
Paish-e-Hakim Pa Barehna Haye Peshi Ke Liye.
Jis Ghari Sarkar Ko Darbar Mein Laya Gaya.
Chaar Janib Ghup Andhera Tha Ke Jaisay Qabar Ho.
Qaid Khana Aisa Lagta Tha Ke Jaisay Qabar Ho.
Jeetay Jee Iss Qabar Mein Maula Ko Dalwaya Gaya.
Qaid Khane Ki Aziyat Kam Thi Kya Aye Zalimo.
Kyun Nabi Ki Aal Se Itni Adawat Hai Kaho.
Dhaya Liye Sab Zulm Tu Phir Zehar Dilwaya Gaya.
Jis Tarha Zainab Hoi Thi Apne Baba Se Juda.
Be Padar Masooma-e-Qum Bhi Hoi Wa Ghurbata.
Be Khata Jaisay Ali Ko Qatal Karwaya Gaya.
Fatima Sughra Ko Jaisay Yaad Kartay They Hussain.
Oss Tarha Milta Na Tha Beti Ke Bin Kazim Ko Chain.
Qaid Khane Ko Bhi Bait Al-Huzan Banwaya Gaya.
Chand Mazdoron Ne Lashay Ko Uthaya Aap Ke.
Our Janaza Pul Pe La Ke Rakh Diya Baghdad Ke.
Haye Zanjeron Mein Bhi Maiyyat Ko Bandhwaya Gaya.
Gul Howa Konain Mein Mara Gaya Ik Be Khata.
Ho Gaye Hain Be Padar Maula Raza, :YASIR RAZA:.
Haye Masooma Ke Sar Se Baap Ka Saya Gaya.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2022-23:
Composition: :Shahid Baltistani:
#KazimEMuztar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com