Zindaan Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2004

Zindaan Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2004

Zindaan Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta Hasan Sadiq.

Roti Hoon Tu Zalim Mujhe Roney Nahi Deta.

Baba Mere Kano Se Lahu Ab Bhi Hai Jari.
Marey Hain Tamachay Bhi Sakina Ko Tumhari.
Pehlu Mein Phophi Ke Mujhe Rehne Nahi Deta.

Awwal Tu Mujhe Neend Hi Aati Nahi Baba.
Soti Hoon Tu Durron Se Jaga Detey Hain Aada.
Yeh Shimar Mujhe Sans Bhi Lainay Nahi Deta.

Ab Khuwab Mein Pani Ki Tamana Nahi Karti.
Kantay Hain Paray Halq Mein Our Sans Hai Rukti.
Ammo Se Shikayat Koi Karne Nahi Deta.

Iss Qaid Se Kab Ho Gi Rehai Mere Baba.
Kaisay Sahoon Asghar Ki Judai Mere Baba.
Gham Kunbay Ka Ab Tu Mujhe Jeene Nahi Deta.

:REHAN: Boka Karti Thi Jab Bali Sakina.
Khud Maut Ke Mathay Pe Bhi Aata Tha Paseena.
Yeh Waqiya Aanso Mere Rukhney Nahi Deta.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2004-05:

#ZindaanKaAndhera
#NohayLyrics
#tajpoint

Zindaan Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2004 Write Up Poster Image

Zindaan Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2004

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!