Veran Haweli Mein Sughra Ghabrati Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2000

Veran Haweli Mein Sughra Ghabrati Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2000

Veran Haweli Mein Sughra Ghabrati Hai Hasan Sadiq.

Ab Laut Ke Aa Akbar Beemar Bulati Hai.

Pardais Gaye Aisay Sughra Ki Na Yaad Aayi.
Nana Ke Rozay Pe Faryad Sunati Hai.

Qadmo Ke Nishano Ko Kabhi Dekh Ke Roti Hai.
Asghar Ka Kabhi Jhola Beemar Jhulati Hai.

Ab Inn Dewaron Mein Dam Ghutta Hai Sughra Ka.
Le Ke Naam Akbar Ka Woh Ashk Bahati Hai.

Akbar Ki Shadi Ka Laein Gay Pyam Chacha.
Iss Aas Pe Woh Sehrey Bhai Ke Banati Hai.

Uljah Howa Barchi Mein Akbar Ka Jigar Dekha.
Iss Khuwab Ki Sughra Ko Tabeer Rulati Hai.

Jab Sham Ke Dhaltay Hi Barh Jati Hai Tanhai.
:JAWAD: Diye Sughra Ashkon Ke Jalati Hai.

Poet: :Jawad Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2000-01:

#SughraGhabratiHai
#NohayLyrics
#tajpoint

Veran Haweli Mein Sughra Ghabrati Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2000 Write Up Poster Image

Veran Haweli Mein Sughra Ghabrati Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2000

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!