Kafan Ab Chor Do Zainab Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2023
Kafan Ab Chor Do Zainab Joan Rizvi
Zahra Ke Ghar Mein Haye Qayamat Ka Woh Samaa.
Maiyyat Ali Ki Rakhi Thi Lipati Thin Betiyaan.
Zainab Kafan Ko Tham Ke Leti Thin Hichkiyaan.
Zainab Ke Pas Aa Ke Hasan Ne Yeh Ki Fogaan.
Janazay Ko Uthana Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Utho Zainab Karo Himmat Karo Baba Ko Ab Rukhsat.
Qayamat Ka Yeh Sadma Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Janaza Le Ke Baba Ka Humein Jane Do Ab Ghar Se.
Kahin Ro Ro Ke Iss Gham Mein Rida Gir Jaye Na Sar Se.
Sanbhalo Aye Behan Khud Ko Tumhare Haal Par Dekho.
Mera Abbas Rota Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Humein Ab Zindagi Bhar Iss Yateemi Ka Hai Gham Sehna.
Bohat Mushkil Se Baba Ka Ruka Hai Khon Aye Behna.
Ajab Aalam Hai Ghurbat Ka Bin-e-Muljim Ki Zarbat Ka.
Abhi Tak Zakhm Taza Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Yeh Phir Shabeer Se Shabar Ne Ro Ro Kar Kaha Bhai.
Tumhi Zainab Ko Do Apne Kafan Ka Wasta Bhai.
Dikha Kar Maa Ka Woh Kurta Bata Do Rooz-e-Ashora.
Kafan Mujh Ko Pinhana Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Woh Dekho Dar Pe Jo Baithay Hain Unn Ko Kaun Palay Ga.
Batao Kaun Kofay Ke Yateemo Ko Sanbhalay Ga.
Yeh Baba Ki Wasiyat Thi Khabar Lena Yateemo Ki.
Unhein Bhi Chup Karana Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Ajab Kuhram Tha Ghar Mein Yeh Jab Bola Hai Zainab Ne.
Abhi Baba Ko Jee Bhar Ke Kahan Dekha Hai Zainab Ne.
Hasan Kehne Lagay Ro Ke Kaha Jitni Dafa Tum Ne.
Kafan Main Ne Hataya Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Janazay Ke Barabar Mein Khari Hain Fatima Zahra.
Kafan Hat Jaye Na Sar Se Dikhey Na Zakhm Zarbat Ka.
Madine Mein Saha Jo Jo Abhi Bholi Kahan Hain Woh.
Wohi Pehlu Shikasta Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Khadija Our Ruqaiya, Fatima, Kulsoom Ko Dekho.
Bari Ho Tum Karo Himmat Sanbhalo Choti Behno Ko.
Amamay Se Koi Liptay Koi Liptay Musalay Se.
Hamara Sath Dena Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Padar Ki Jan Mein Hi Betiyon Ki Jan Hoti Hai.
Judai Baap Ki Sehna Kahan Aasan Hoti Hai.
Aye Meri Ghamzada Khwahar Mujhe Maloom Hai Tum Par.
Bohat Mushkil Yeh Lamha Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Uthai Jis Ghari Maiyyat Jawaan Beton Ne Kandhoon Par.
Biyaan Ho :JAUN: Our :ZEESHAN: Kaisay Gham Ka Woh Manzar.
Yeh Dil Gham Se Na Phat Jaye Yehi Kehte Hoye Haye.
Janaza Ghar Se Nikla Hai Kafan Ab Chor Do Zainab.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Noha Volum: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Joan Rizvi:
#KafanAbChorDoZainab
#NohayLyrics
#tajpoint
21 Ramzan Noha Kafan Ab Chor Do Zainab Joan Rizvi
Hazrat Ali Shahadat Noha Kafan Ab Chor Do Zainab Joan Rizvi