Muqassir Our Nusehri Ke Liye Jaghra Bana Dala Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مقصّر اور نصیری کے لیے جھگڑا بنا ڈالا
Khudaya Ho Baho Tu Ne Ali Khud Sa Bana Dala.
Jo Dekha Kibriya Ne Dil Mein Logon Ke Kadorat Hai.
Ali Ki Shan Kya Hai Bataney Ki Zarorat Hai.
So Aaye They Ali Jis Ghar Mein Woh Qibla Bana Dala.
Khuda Ne Jab Yeh Chaha Ab Meri Pehchan Ho Jaye.
Main Hoon Khaliq Tumhara Yeh Kahin Ayelan Ho Jaye.
Ali Ne Tab Kaha Kun Our Jahan Sara Bana Dala.
Mujhe Pocha Kissi Ne Yeh Khudai Kis Ko Jhukti Hai.
Kahan Rehta Hai Khaliq Our Janat Kaisi Dikhti Hai.
Ali Ke Ghar Ka Main Ne Be Dharak Naqsha Bana Dala.
Mera Ik Khuwab Hai Khaliq Agar Tabeer Ho Jaye.
Keh Bad Az Hajj Haram Mein Matam-e-Shabeer Ho Jaye.
Manadi Ho Keh Ghar Tu Ne Azza Khana Bana Dala.
:NAEEM: Ik Roz Socha Tha Wafa Par Kuch Kaha Jaye.
Wafa Ke Kibriya Ki Shan Mein Kuch Tu Kiya Jaye.
So Main Ne Jild Par Quran Ki Panja Bana Dala.
Poet: :Naeem Abbas Naeem:
#MuqassirOurNusehri
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com