Tum Na Ana Hussain Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2023
Tum Na Ana Hussain Mir Sajjad Mir
Zakhmo Se Choor Choor Safeer-e-Hussain Tha.
Phir Bhi Katay Labon Pe Yeh Muslim Ke Thi Sada.
Aye Roney Walo Tha Waqt-e-Aakhir Muslim Ke Lab Par Yeh Noha Tum Na Aana Hussain.
Halaat Achay Nahi Hain Yahan Maqtal Hai Yeh Shehar-e-Kofa Tum Na Aana Hussain.
Kuch Naizay Walon Se Main Ne Suna Akbar Ke Seene Ki Kartay They Baat.
Talwar Walay Yeh Kehte Miley Inn Se Hi Katein Gay Ghazi Ke Hath.
Khanjar Ko Chamka Rahe Hain Yahan Sab Naam Le Kar Tumhara Tum Na Aana Hussain.
Yeh Soch Kar Kanp Jata Hoon Main Hain Aap Ke Sath Mein Bibiyaan.
Kaisay Bataon Jo Main Ne Suna Zainab Kahan Be Ridai Kahan.
Bas Yeh Dua Hai Salamat Rahe Aoulad-e-Zahra Ka Pardah Tum Na Aana Hussain.
Yeh Kofay Walay Hain Zalim Barey Mastoor Par Bhi Nahi Meharbaan.
Toa Ko Jis Waqt Durray Lagay Yaad Aaein Muslim Ko Syedaniyaan.
Zahra Ki Sorat Khuda Na Karey Khaye Sakina Tamacha Tum Na Aana Hussain.
Pehle Bhi Aayi Thi Bint-e-Ali Ho Kar Yateema Yahan Se Gayi.
Ab Oss Ke Sar Par Nahi Hai Koi Tum Ko Howa Kuch Tu Mar Jaye Gi.
Kofa Nahi Raas Aaya Ossay Zainab Ko Le Kar Dobarah Tum Na Aana Hussain.
Unn Ki Tu Maa Bhi Nahi Hai Yahan Jane Kahan Hoon Gay Bachay Mere.
Dar-Al-Amara Se Hoon Dhondta Aa Jaein Shayad Nazar Woh Mujhe.
Lekin Main Rota Hoon Yeh Soch Kar Asghar Hai Unn Se Bhi Chota Tum Na Aana Hussain.
Aye :MIR SAJJAD: Oss Ne Kaha Iss Waqt Muslim Akela Nahi.
Girney Na Dein Gi Woh Sar Ko Mere Phailaye Jholi Khari Hain Yahin.
Godi Mein Sar Ko Utha Lein Gi Woh Aayi Hain Khud Chal Le Zahra Tum Na Aana Hussain.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khuwan: :Mir Sajjad Mir:
Noha Volume: :Mir Sajjad Mir 2023-24:
Composition: :Mir Sajjad Mir:
#TumNaAnaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Tum Na Ana Hussain Mir Sajjad Mir