Alam Ghazi Ka Rizwan Zaidi, Sajjad Zaidi & Mesum Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
عَلم غازیؑ کا
Alam Ghazi Ka, Alam Ghazi Ka.
Batil Ka Dam Ghutta Hai Yeh Jab Bhi Kahin Uthta Hai.
Ijaz-e-Atash Dikhlata Hai Mafhoom e Atta Samjhata Hai.
Ik Mashk Liye Yeh Aata Hai Our Abar-e-Karam Barsata Hai.
Jab Lutf-o-Karam Karta Hai Har Jholi Ko Bharta Hai.
Roshan Hai Charag-e-Haq Jis Se Woh Iss Ke Phareray Ki Hai Hawa.
Abbas Se Nisbat Hai Iss Ko Hai Sar Pe Issi Ke Taj-e-Wafa.
Taufeeq-e-Azza Deta Hai Paigham-e-Wafa Deta Hai.
Hairan Hain Yousuf Bhi Jis Par Payi Hai Jawani Bhi Aisi.
Waliyon Ki Tarha Yeh Chalta Hai Qamat Hai Farishton Ke Jaisi.
Jab Majlis Mein Aata Hai Konain Pe Cha Jata Hai.
Ghazi Ne Wafa Ke Jalwaon Se Iss Tarha Sajaya Hai Yeh Alam.
Taqreeb e Half Bardari Mein Waliyon Ne Uthaya Hai Yeh Alam.
Paymana e Salari Hai Minar e Wafadari Hai.
Jo Hazir Hona Chahtey Hain Darbar-e-Imamat Mein Dil Se.
Nazdeek Bulata Hai Unn Ko Panjay Se Isharey Kar Kar Ke.
Manzil Ki Khabar Deta Hai Khud Zaad-e-Safar Deta Hai.
Jab Waqt Kara Aa Jata Hai Shabeer Ke Ghumkhuwaron Ke Liye.
Sheron Ki Tarha Se Uthta Hai Maula Ke Azadaron Ke Liye.
Aandhi Se Ulajh Parta Hai Tofano Se Larta Hai.
Tareekh Gawahi Deti Hai Koi Sani Nahi Iss Parcham Ka.
Zindah Hai Agar Binayi Teri Aye Munkir Ghoor Se Dekh Zara.
Sab Jhanday Ho Gaye Thanday Oncha Hai Khuda Ke Banday.
ALLAH Re Iss Ka Jah-o-Hasham Chodah So Baras Ka Hai Yeh Alam.
Na Iss Pe Zaeefi Aayi Hai Na Iss Ki Kamar Mein Aaya Hai Khum.
Azmat Ka Nishaan Hai :GOHAR: Sadiyon Se Jawaan Hai :GOHAR:.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Noha Khuwan: :Rizwan Zaidi, Sajjad Zaidi & Mesum Zaidi:
Noha Volume: :Rizwan Zaidi 2023-24:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#AlamGhaziKa
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com