Ae Zairo Rizwan Sajjad Mesum Zaidi Lyrics Urdu 2024
Ae Zairo Rizwan Sajjad Mesum Zaidi Lyrics
Aye Zairon Tumhein Shabbir Ne Bulaya Hai.
Pyam-e-Hazrat-e-Abbas Yeh Hi Aaya Hai.
Banao Qafila Our Janib-e-Hussain Barho.
Kahin Pe Noha Parho Our Kahin Salam Parho.
Chalo Keh Waqt Yeh Taqdeer Ne Dikhaya Hai.
Tumhara Naam Bhi Hai Zaireen Mein Shamil.
Chalo Keh Tum Ko Bulati Hai Aaj Khud Manzil.
Thi Dil Mein Jis Ki Tamana Woh Waqt Aaya Hai.
Bola Raha Hai Tumhein Zairon Woh Hi Rasta.
Woh Rasta Jis Pe Keh Ik Silsila Hai Mashi Ka.
Woh Mashi Jis Ne Keh Sab Ka Hasham Barhaya Hai.
Chalein Gay Hum Bhi Jo Paidal Hi Soye Karb-o-Bala.
Alam Ho Sath Tu Phir Ishq Ka Safar Hoga.
Yeh Soch Kar Hi Jari Ka Alam Uthaya Hai.
Croron Hotey Hain Jab Zaireen-e-Shah-e-Ummam.
Tu Yeh Hi Hota Hai Mehsos Karbala Ki Qasam.
Keh Jaisay Sara Jahan Ik Jagah Samaya Hai.
Yeh Arbaeen Hai Oss Ka Jisay Miley Hain Mahan.
Woh Jis Ghareeb Ka Chehlum Mana Saki Na Bahan.
Woh Jis Ko Ahl-e-Sitam Ne Bohat Sataya Hai.
Ossi Ke Rozay Pe Jaein Gay Hum Bhi Rotay Hoye.
Jo Alqama Se Na Aaya Tu Bas Taraptay Hoye.
Behan Ne Dasht Mein Jis Ka Alam Barhaya Hai.
Maqam-e-Akbar-o-Asghar Pe Ashk Barsana.
Jari Ko Rotay Hoye Oss Maqam Par Jana.
Jahan Pe Ghazi Ne Apna Lahu Bahaya Hai.
Aye Kash Jald Hi Qismat Woh Din Bhi Dikhlaye.
Keh Jab Zaban Pe :IZHAR: Ke Yehi Aaye.
Mujhe Bhi Karb-o-Bala Shah Ne Bulaya Hai.
Poet: :Ali Izhar:
Noha Khuwan: :Rizwan Zaidi, Sajjad Zaidi & Mesum Zaidi:
Noha Volume: :Rizwan Zaidi 2024-25:
Compostion: :Rizwan Zaidi:
#AeZairo
#NohayLyrics
#tajpoint