Maqtal e Imam Hussain Qamar Baltistani Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مقتلِ اِمام حُسینؑ
Halq-e-Sarwar Pe Churi Shimar Chalaney Aaya.
Fatima Roti Thi Koi Na Bachaney Aaya.
Khon Behta Raha Be Chain Musibat Mein Hoye.
Shiddat e Dard Se Maqtal Mein Taraptay Hi Rahe.
Khak Se Koi Na Bekas Ko Uthane Aaya.
Marne Walon Ko Pilatay Hain Addo Bhi Pani.
Waqt-e-Aakhir Bhi Thi Shabeer Ki Ghurbat Aisi.
Tashna Lab Ko Koi Pani Na Pilane Aaya.
Naiza Mara Bin-e-Zahra Ko Kissi Ne Khanjar.
Aa Ke Zakhmo Pe Kissi Shaks Ne Mara Pathar.
Jo Bhi Aaya Sheh-e-Wala Ko Satanay Aaya.
Kalma Go Sab They Magar Zulm Hi Dhaya Barh Kar.
Kuch Taras Khaya Nahi Koi Bin-e-Zahra Par.
Har Koi Zakhm Hi Syed Ko Lagane Aaya.
Gham Ki Tareekh Na Bholay Gi Kabhi Yeh Manzar.
Barchi Pehlu Mein Lagay Teer Lagay Seene Par.
Zeen Se Shah Ko Sitamgar Giranay Aaya.
Dard Se Pyas Ke Aalam Mein Ghutan Hoti Rahi.
Bas Taraptay Rahe Zakhmo Mein Chubhan Hoti Rahi.
Khak Zakhmo Se Koi Bhi Na Hatanay Aaya.
Kat Gaya Sheh Ka Gala Ajar-e-Risalat Yeh Mila.
Aye :HILAL: Ashk Bahatay Hoye Zahra Ne Kaha.
Koi Bhi Farz-e-Mawaddat Na Nibhanay Aaya.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Noha Khuwan: :Qamar Baltistani:
Noha Volume: :Qamar Baltistani 2023-24:
Composition: :Syed Mufeed Zaidi:
#MaqtaleImamHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com