Khuwab e Safar e Arbaeen Page 2 Lyrics In Urdu 2019
Khuwab e Safar e Arbaeen Page 2
Youn To Carroron Logon Mein Har Khas-o-Aam Tha.
Lekin Har Aik Shaks Ka Zair Hi Naam Tha.
Ahl-e-Zabaan Nahi They Magar Jan Jate They.
Maa Ki Tarha Isharon Ko Pehchan Jate They.
Kharcha Kiye Beghair Kayi Dolatein Milin.
Do Jannaton Ke Beech Kayi Jannatein Milin.
Itna Chala Keh Par Gaye Pairon Mein Aablay.
Kuch Dair Ruk Gaya Zara Aaram Ke Liye.
Sara Badan Thakan Se Bohat Choor Tha Mera.
Dil Ne Kaha Keh Ab Nahi Paidal Ka Hosla.
Itne Mein Ik Bazurg Pe Main Ne Nazar Jo Ki.
Raftar Un Ki Dekh Ke Himmat Meri Barhi.
Guzray WOh Muskuratay Howay Mere Pass Se.
Main Ne Kiya Jo Ghoor To Masnoyi Paon They.
Phir Tu Qareeb Tar Mujhe Apna Hadaf Laga.
Aik Aik Chala Paon Ga Dur-e-Najaf Laga.
Yeh Karbala Hai Aayi Jo Kano Mein Ik Sada.
Be Sakhta Zaban Pe Ik Shair Aa Gaya.
Karb-o-Bala Naseeb Se Jana Naseeb Ho.
Phir Laut Kar Wahan Se Na Aana Naseeb Ho.
Hum Pul Pe Chal Rahe They Keh Yaksar Dikhai Di.
Abbas Our Hussain Ke Rozon Ki Roshni.
Kis Se Unhein Milaon Ke Bas La-Jawab They.
Do Rozay Kab They Raat Ke Do Aaftab They.
Labaik Ya Hussain Ke Naray They Chaar So.
Kaise Biyaan Ho Dil Ne Jo Ki Mujh Se Guftgu.
Kehne Laga Keh Rukh Ko Zara Soye Sham Kar.
Hathon Ko Joor Bint-e-Ali Ko Salam Kar.
Kehta Tha Dil Jo Karb-o-Bala La-Zawal Hai.
Yeh Sham Wali Bibi Tumhara Kamal Hai.
Bas Soch Hi Raha Tha Karon Shukar-e-Kibriya.
Aansu Ne MUjh Se Pehle Wahan Sajda Kar Liya.
:SAJJAD: Kyun Kahon Ossay Rasta Zameen Ka.
Aflak Ka Safar Tha Safar Arbaeen Ka.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khuwan: :Mir Sajjad Mir:
Noha Volume: :Mir Sajjad Mir 2019-20:
New Noha Khuwab e Safar e Arbaeen Page 2