Ali Se Puchna Baba Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2024
Ali Se Puchna Baba Syed Mohammad Shah
Sada Deti Thi Yeh Zahra, Ali Se Pochna Baba.
Gira Jab Mujh Pe Darwaza Guzartay Jate They Aada Ali Se Pochna Baba.
Main Beti Hoon So Baba Ki Tabiyat Ko Samajhti Hoon.
Tamacha Kis Ne Mara Hai Bataney Se Jhijhakti Hoon.
Howa Kis Tarha Se Neela Teri Beti Ka Yeh Chehra.
Madine Ka Rawaiya Youn Tumhare Baad Badla Hai.
Main Zahra Hoon Nabi Zadi Mujhe Yeh Kehna Parta Hai.
Yeh Mastoraat Yasrab Ki Adab Karti Nahi Mera.
Mera Ik Hath Tu Rehta Hai Baba Zakhmi Pehlu Par.
Mujhe Mara Gaya Hai Taziyana Dojay Bazu Par.
Bari Mushkil Se Hota Hai Teri Beti Se Ab Sajdah.
Sitamgar Jis Ghari Aaya Mere Kano Mein Gohar They.
Uthaya Hath Jab Mujh Par Tu Baba Mere Kano Se.
Mere Rukhsar Mein Aa Kar Howa Paiwast Woh Bunda.
Mujhe Darbar Ki Peshi Ne Iss Darjah Tha Tarpaya.
Koi Atharaan Barson Ka Janaza Jaisay Ho Aaya.
Kiya Hai Kis Tarha Main Ne Safar Darbar Ka Baba.
Na Din Ko Chain Pata Hai Na Woh Raton Ko Sota Hai.
Merey Rastay Mein Girney Par Hasan Chup Chup Ke Rota Hai.
Mere Beta Nahi Oss Din Se Mere Samne Aaya.
Tumhein Maloom Hai Shabbir Ko Nazoon Se Hai Pala.
Ossay Seene Lagane Se Bhi Ab Ajiz Hoi Zahra.
Mera Bazu Shikasta Hai Laga Tha Iss Tarha Durrah.
Padar Ki Qabar Pe Bibi Ne :AKBAR: Ro Ke Farmaya.
Main Zahra Ho Ke Bhi Na Mehramo Mein Aa Gayi Baba.
Ali Ko Kaisay Qunfuz Se Teri Zahra Ne Churwaya.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammad Shah 2023-24:
Composed: :Sayyed Zaire Naqvi:
#AliSePuchnaBaba
#NohayLyrics
#tajpoint
Ali Se Puchna Baba Syed Mohammad Shah