Madar e Abbas Marsiya Saleem Mastan
Abid Ko Aik Roz Yeh Gham Ki Khabar Mili.
Yasrab Mein Karbala Ki Azadar Chal Basi.
Rotay Hoye Hussain Pa Woh Koch Kar Gayi.
Umm Ul-Banin Madar e Abbas Mar Gayi.
Dekha Nahi Gaya Gham e Shabbir Dehar Se.
Mara Gaya Ruqaiya Ki Madar Ko Zehar Se.
Mairaj Par Tha Zoja e Haider Ka Hosla.
Zainab Se Pehle Aap Ki Dukhtar Ka Ghar Luta.
Damad Bhi Kitab-e-Shahadat Ka Fateha.
Farzand Sare Fidia-e-Aoulad-e-Fatima.
Umm Ul-Banin Shah Ke Matam Mein Chal Basi.
Haye Woh Ranj-o-Hizn Ke Aalam Mein Chal Basi.
Taboot Par Yeh Noha Sunata Hai Ghar Ka Ghar.
Roi Nahi Jo Aoun-o-Muhammad Ko Umar Bhar.
Aanso Baha Rahi Hai Woh Umm Ul-Banin Par.
Zainab Duhai Deti Hai Sar Peet Peet Kar.
Tum Chor Kar Chali Ho Kahan Fatima Ke Baad.
Zainab Tumhein Bulati Thi Maa Fatima Ke Baad.
Zainab Ki Tarha Fatima Sughra Be Haal Hai.
Gash Bar Bar Aata Hai Halat Nidhal Hai.
Fizza Se Keh Rahi Hain Yeh Matam Ka Saal Hai.
Pyaron Ke Baad Dehar Mein Jeena Mohal Hai.
Apni Iss Aik Maa Ka Bhi Matam Karon Gi Main.
Aye Dadi Jan Aap Ka Bhi Gham Karon Gi Main.
:QASIM: Nibha Rahi Hain Woh Zahra Se Youn Wafa.
Tareek Qabar Hai Koi Roshan Nahi Diya.
Mehdi Lehad Pa Parhtay Hain Ro Ro Ke Marsiya.
Mismar Ab Bhi Roza Hai Umm Ul-Banin Ka.
Bas Jis Ke Intezar Mein Parwardigar Hai.
Umm Ul Baneen Ki Qabar Pa Woh Sogowar Hai.
Poet: :Qasim Naqvi:
Noha Khuwaan: :Saleem Mastan o Baradran:
Noha Volume: :Saleem Mastan 2026-27:
#MadareAbbas
#MarsiyaLyrics
#tajpoint
Bibi Umm Ul Banin Madar e Abbas Marsiya Saleem Mastan Lyrics
Madar e Abbas Marsiya Saleem Mastan Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
