Janaza Baap Ka Abbas Raza Naqvi Lyrics Urdu 2024
Janaza Baap Ka Our Betiyaan Manzar Khuda Jane.
Yeh Gham Hai Betiyon Ka Kaun Beton Ke Siwa Jane.
Har Ik Beti Ke Sar Par Hath Rakh Kar Chom Kar Chadar.
Ali Ne Jate Jate Keh Diya Sab Se Yeh Ro Ro Kar.
Ke Ab Abbas Jane Our Behno Ki Rida Jane.
Musalla Khon Mein Doba Howa Paye Gi Jab Zainab.
Shikasta Sar Padar Ka Bhool Na Paye Gi Ab Zainab.
Musalay Par Ali Ka Khon Kitna Beh Gaya Jane.
Kaha Kulsoom Ne Baba Humein Bhi Sath Le Jao.
Tumhare Bin Jiyon Gi Kis Tarha Itna Tu Batlao.
Kahan Se Aa Gayi Ghar Mein Yateemi Ki Hawa Jane.
Ruqaiya Baap Ke Qadmo Se Yeh Kehte Hoye Lipati.
Hamari Lut Gayi Dunya Nahi Baqi Raha Kuch Bhi.
Yeh Din Kyun Betiyon Ki Zindagi Mein Aa Gaya Jane.
Kaha Jab Betiyon Ne Ab Hamara Kaun Hai Baba.
Qayamat Ho Gayi Sar Pe Padar Ka Na Raha Saya.
Yeh Sun Kar Haal Kya Hoga Kafan Mein Baap Ka Jane.
Agar Zainab Ka Gham Na Ho Tu Phir Yeh Sans Ruk Jaye.
Bohat Mushkil Hai Beti Ka Bicharna Baap Se Haye.
Mila Zainab Se Kitna Betiyon Ko Hosla Jane.
Yeh Dil Phatta Hai Kis Tarha Likhe :ZEESHAN: Woh Manzar.
Uthaya Jab Janaza Baap Ka Beton Ne Kandhoon Par.
Choraya Kis Tarha Zainab Ko Maiyyat Se Khuda Jane.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Abbas Raza Naqvi:
Noha Volum: :Syed Abbas Raza Naqvi 2023-24:
Composition: :Hasnain Mehdi:
#JanazaBaapKa
#NohayLyrics
#tajpoint