Zainab Ka Baba Mesum Abbas Lyrics In Urdu
زینبؑ کا باباؑ
Ansu Na Bahao Zainab Qamar Baltistani Lyrics In Urdu
Aaj Ghar Ghar Mein Matam Bapa Hai.
Qatal Zainab Ka Baba Howa Hai.
Lab Pe Jibreel Ke Yeh Boka Hai.
Qatal Zainab Ka Baba Howa Hai.
Kalay Kapron Mein Hain Aaj Ahl-e-Azza.
Hai Labon Par Sada Ya Ali Elia.
Noha Khuwani Kahin Our Kahin Marsiya.
Sare Aalam Mein Gham Ki Fiza Hai.
Majlison Our Jaloson Mein Zikar-e-Ali.
Roza Daroon Ki Aankhon Mein Gham Ki Nami.
Borhay Bachay Jawaan Hain Sabhi Matami.
Roza Daroon Ke Lab Par Sada Hai.
Kalay Parcham Uthatay Hoye Sar Ba Sar.
Shahrahoon Pe Niklay Sabhi Noha Gar.
Aik Majlis Se Hai Dosri Ka Safar.
Haan Yeh Mahool Batla Raha Hai.
Roza Daroon Ke Kandhoon Pe Taboot Hai.
Sab Hain Khoni Qaba Our Rotay Hoye.
Ya Ali Ya Ali Ki Jo Aawaz Hai.
Har Azadar Yeh Keh Raha Hai.
Ro Ke Kehte Hain Hasnain Sar Peet Kar.
Aayi Uneeswin Ki Yeh Kaisi Sahar.
Dekha Jata Nahi Baap Ka Zakhmi Sar.
Qabar-e-Zahra Mein Aah-o-Boka Hai.
Roz Raton Ko Khana Khilata Tha Jo.
Sab Yateemo Ke Gham Ko Mitata Tha Jo.
Ab Nahi Aaye Ga Roz Aata Tha Jo.
Yeh Sitam Be Kason Par Kiya Hai.
Baap Ke Gham Mein Roti Hain Syedaniyaan.
Khak Urati Hain Kehti Hain Sab Betiyaan.
Zindagi Bhar Karein Gay Youn Aah-o-Fogaan.
Yeh Qayamat Ka Gham Jo Mila Hai.
Farsh-e-Majlis Pe :MEESUM: Yeh Noha Karo.
Jo Musayab Hain :MAZHAR: Woh Likhtay Raho.
BiBi Zahra Ko Ashkon Se Pursa Bhi Do.
Bas Yeh Aagaz-e-Karb-o-Bala Hai.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2023-24:
Composition: :Mazhar Abidi:
#ZainabKaBaba
#NohayLyrics
#tajpoint