Aseeran e Karbala Saleem Mastan Wa Bradran Lyrics Urdu 2025
Aseeran e Karbala Saleem Mastan Wa Bradran.
Jab Karbala Mein Qaid Hoi Aal-e-Mustafa.
Abbas-e-Namdar Ko Zainab Ne Di Sada.
Afsoos Chadron Ka Mohafiz Nahi Raha.
Syedaniyon Ke Sar Se Utari Gayi Rida.
Woh Waqt Tha Keh Ahl-e-Haram Kanpne Lagay.
Karb-o-Bala Ki Khak Se Sar Dhanpne Lagay.
Dhool Iss Qadar Ke Chehray Ko Chehra Na Dikh Sakay.
Woh Dhop Thi Ke Saye Bhi Thara Ke Reh Gaye.
Tapti Zameen Pe Koi Bhala Kis Tarha Chaley.
Phir Bhi Na Past Ho Sakay Abid Ke Hoslay.
Beri Ke Zakhm They Jo Jigar Kattay Rahe.
Akbar Se Dard Zeen e Abba Banttay Rahe.
Bazar-e-Kofa Aa Gaya Ik Shoor Hai Bapa.
Ronaq Lagi Hoi Hai Sar-e-Rah Har Jagah.
Na Mehramo Ke Darmiyaan Zainab Hai Be Rida.
Phir Bhi Labon Pe Sani-e-Zahra Ke Hai Dua.
Pyason Ko Karbala Ke Woh Youn Bhi Satatay Hain.
Ghar Ki Chaton Se Kholta Pani Giratay Hain.
Warid Hoye Jo Sham Mein Ahl-e-Haram Tamam.
Chalna Howa Mohal Aseeron Ka Aik Gaam.
Itnay Mein Saj Gaya Koi Darbar-e-Be Lagam.
Betha Howa Tha Takht Pe Zalim Zalil e Sham.
Jane Khuda Keh Haal Sakina Ka Kya Raha.
Honton Pe Sheh Ke Jab Woh Chari Marta Raha.
Zindaan Mein Qaid Kar Di Gayi Shah Ki Behan.
Sath Unn Ke Thi Sakina Bhi Mazloom-o-Khasta Tan.
Ro Ro Ke Kehti Rehti Thi Amma Watan Watan.
Ab Our Zulm Seh Nahi Sakta Mera Badan.
Baba Ka Sar Miley Ga Tu Kuch Chain Paon Gi.
Rukhsaron Ke Main Neel Unhi Ko Dikhaon Gi.
:AHSAAN: Sar Ko Peeto Keh Woh Aa Gaya Pehar.
Zindaan Mein Ho Ka Shoor Hawa Ka Nahi Guzar.
Zalim Ne Qaid Khane Mein Bhaija Padar Ka Sar.
Daman Howa Sakina Ka Ashkon Se Tar Batar.
Aisi Bhi Kya Woh Baba Se Faryad Kar Gayi.
Galon Pe Gaal Rakh Ke Sakina Guzar Gayi.
Poet: :Ahsaan Rizvi:
Marsiya Khuwan: :Saleem Mastan Wa Bradran:
Noha Volume: :Saleem Mastan 2025-26:
Composition: :Syed Irfan Hussain Rizvi:
#AseeraneKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint