Zikr-e-Ali Haider Rizvi Lyrics In Urdu 2022
Zikr-e-Ali Haider Rizvi Lyrics In Urdu
Hum Zikar-e-Ali Ki Sorat Mein Quran Sunaya Kartay Hain.
Hum Loag Ghadeer-e-Khum Ja Kar Shajron Ko Sajaya Kartay Hain.
Hum Buzar Ban Kar Detey Hain Mehfil Mein Azan-e-Ishq-e-Ali.
Youn Kalma Goyon Ko Apna Eman Bataya Kartay Hain.
Ayelan-e-Wilayat Ko Sun Kar Jitnay Bhi Munafiq Le Ke Gaye.
Yeh Loag Saqeefay Mein Ja Kar Woh Bugz Chupaya Kartay Hain.
Jo Bugz-e-Ali Mein Mar Jaein Islam Se Unn Ki Kya Nisbat.
Le Ja Ke Farishtay Woh Lashein Dozakh Mein Jalaya Kartay Hain.
Maula Ne Kajawon Ka Mimber Maula Ke Liye Banwaya Tha.
Jo Oncha Suntay Hain Unn Ko Tasveer Dikhaya Kartay Hain.
Chorein Gay Akela Mehshar Mein Woh Apne Muhibbon Ko Kaisay.
Jo Sharbat Apne Hissay Ka Qatil Ko Pilaya Kartay Hain.
Aaein Na Madad Karne Ko Ali Yeh Kaisay Mumkin Hai Yaro.
Jo Nad-e-Ali Parh Kar Dil Se Maula Ko Bulaya Kartay Hain.
Yeh Baat :ZAFAR ABBAS ZAFAR: Tum Nehj-e-Balaga Se Pocho.
Maula Ke Yeh Aafaqi Khutbay Kis Kis Ka Safaya Kartay Hain.
Poet: :Zafar Abbas Zafar:
Manqabat Khuwan: :Haider Rizvi:
Manqabat Volum: :Haider Rizvi 2021-22:
Composition: :Own Rizvi:
#ZikreAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint