Aaya-e-Tatheer Jhutlai Gayi Darbar MeinLyrics In Urdu 2020
Aaya-e-Tatheer Jhutlai Gayi Darbar Mein.
Mangney Haq Aa Gayi Bint-e- Nabi Darbar Mein.
Phaar Kar Tukray Sand Ke Hans Rahe They Kalma Go.
Our Bint-e-Mustafa Roti Rahi Darbar Mein.
Jis Ki Azmat Ki Gawahi Deta Hai Rab-e-Qadeer.
Haan Wohi Bint-e-Nabi Layi Gayi Darbar Mein.
Madar-e-Kulsoom-o-Zainab Our Nabi Ki Ladli.
Zoja-e-Mushkil Kusha Mushkil Mein Thi Darbar Mein.
Bad-e-Ahmad Woh Sitam Ummat Ne Dhaya Aal Par.
Malka-e-Konain Hai Qaidi Bani Darbar Mein.
Chota Na Darbaron Mein Jana Nabi Ki Aal Ka.
Rasam Zalim Yeh Teri Aisi Chali Darbar Mein.
Ashqiya Kursi Nasheen They Jab Keh :ZAKIR: Our :NABEEL:.
Madar-e-Shabeer-o-Shabar Thi Khari Darbar Mein.
Poet: :Zakir Imam:
Noha Khuwaan: :Nabeel Abbas Rizvi:
Composition: :Haider Raza Zaidi:
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint