Woh Ba-Kamal Hai Woh Be-Misal Hai 9 14 Lyrics in Urdu 2009
Woh Ba-Kamal Hai Woh Be-Misal Hai 9 14.
Jo Phool Fatima Ka Woh La-Zawaal Hai.
Mashad Mein Aik Lal Ka Dar-ul-Shifa Bhi Hai.
Rab Ki Riza Hai Iss Ki Riza Woh Raza Bhi Hai.
Iss Dar Se Jis Ne Manga Hai Jo Kuch Mila Bhi Hai.
Rozay Se Jiske Khota Nahi Rad Sawal Hai.
Taqwa Mein Aik Phol Taqi Ta-Had-e-Khiyal.
La-Raib Woh Zamane Mein Be-Misal-o-Be-Misaal.
Khush Fikar-o-Khush Mizaj-o-Khush Bakht-o-Be-Misal.
Ajdad Ki Kitab Ka Har-e-Kamal Hai.
Ab Hai Naqeeb-e-Haq-o-Sadaqat Naqi Ki Bat.
Yeh Bat Hai Nabi Ki Yehi Ali Ki Baat.
Burj-e-Daham Mein Aa Hi Gayi Roshni Ki Baat.
Iss Ke Amal Se Kufar Ke Sheshay Mein Baal Hai.
Askar Mizaj Lashkar-e-Emaan La Lashkari.
Qamat Mein Mustafa Hai Jo Seerat Mein Hai Ali.
Iss Ke Pisar Ke Dam Se Qayamat Ruki Hoi.
Khamoshiyon Mein Jis Ki Bala Ka Jalal Hai.
Tazeem Ka Hai Waqt Ab Aaya Hai Oss Ka Naam.
Qayam Hai Jiske Dam Se Zamane Ka Kul Nizam.
Naam Aaye Jis Ke Lab Pe To Wajib Howa Salam.
Ab Qatil-e-Hussain Ka Bachna Mohaal Hai.
:REHAN: Wasf-e-Aal-e-Muhammad Biyan Ho.
Midhat Sarai Ke Liye Ik Noha Khuwan Ho.
Sarwar Ka Jo :NADEEM: Ho Ahl-e-Zaban Ho.
Iss Zikar Ki Asas Mein Rab Ka Jamal Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Manqabat Volume: :Nadeem Sarwar 2009: