Pehle Namoos e Risalat Ke Azadar Hain Abid Lyrics 2022

Pehle Namoos e Risalat Ke Azadar Hain Abid Lyrics 2022

Pehle Namoos e Risalat Ke Azadar Hain Abid Ch Faiyaz Party.

Be Kafan Baba Se Milney Ko Teyar Hain Abid.

Na Kafan They Na Ridaein Woh Karbala Se Chala.
Chand Sa Chehra Imamat Ka Zaeefi Mein Dhala.
Jab Kissi Ne Yeh Kaha Ab Aagay Bazar Hain Abid.

Lut Gaye They Jo Tabaruk Woh Kuch Gareebon Ke.
Dur Sakina Ke Kuch Ridaein Sar Shaheedon Ke.
Yeh Wirasat Hai Mili Haye Aisay Sardar Hain Abid.

Raku Mein Pandrah Azanein Woh Sun Ke Aaya Tha.
Saja Ke Shehar Ko Hakim Ne Jab Bulaya Tha.
Khon Roye Hain Wahan Haye Aisay Ghamkhuwar Hain Abid.

Aakhri Waqt Mein Baqir Se Musayab Tha Suna.
Aakhri Sans Ne Phir Lafz-e-Chadar Ko Chuna.
Tu Bata Kalma Go Kya Iss Ke Haqdar Hain Abid.

Khon Aankhon Se Jo Ruk Jaye Beemar Tera.
Muntazir Khuld Hai Nahi Ab Bazar Tera.
Ro Ke Zainab Ne Kaha Haye Mere Salar Hain Abid.

Naam Jis Ne Bhi Sakina Ka Janazay Mein Liya.
Larzah Tari Howa Sajjad Ne Giriya Tha Kiya.
Khoon Kafan Mein Roye Haye Sun Ke Har Bar Hain Abid.

Itrat-e-Kibriya Thi :NAJFI: Bazar Gayi.
Beti Syeda Ki Sharabi Ke Darbar Gayi.
Khon Roney Ke Liye Turbat Mein Bedar Hain Abid.

Poet: :Amir Ali Najfi,Sialkot:
Soz: :Nasir Khan,Sialkot:

#AzadarHainAbid
#NohayLyrics
#tajpoint

Pehle Namoos e Risalat Ke Azadar Hain Abid Lyrics 2022 Write Up Poster Image

Pehle Namoos e Risalat Ke Azadar Hain Abid Lyrics 2022

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!