Aye Musalman Dar e Zahra Jalaya Tu Ne Lyrics In Urdu 2020
Aye Musalman Dar e Zahra Jalaya Tu Ne.
Tujh Ko Maloom Nahi Qibla Giraya Tu Ne.
Tha Yeh Farman-e-Nabi Zahra Na Roney Paye.
Phir Bhi Kyun Beti Ko Hai Oss Ki Sataya Tu Ne.
Khak Par Khon Gira Hai Jo Yeh Zahra Ka Nahi.
Asal Mein Khon Muhammad Ka Bahaya Tu Ne.
Mang Leta Tu Fidak Zahra Atta Kar Deti.
Par Tera Aag Thikana Tha Woh Paya Tu Ne.
Har Sitam Sehti Rahi Teri Riza Ki Khatir.
Zulm Sab Dekha Tu Hoga Aye Khudaya Tu Ne.
Meri Zahra Hi Mera Tukra Hai Logo Sun Lo.
Qaul Ahmad Ka Musalmaan Yeh Bhulaya Tu Ne.
Jalta Darwaza Bhi Zahra Pe Giraya Zalim.
Iss Qadar Zulm Yeh Kyunkar Hai Kamaya Tu Ne.
Zikar-e-Zahra Hai Kahan Our Kahan Yeh :QAMBAR:.
Iss Ko Likhna Bhi Mere Maula Sikhaya Tu Ne.
Poet: :Qambar Kiyani:
#AyeMusalman
#NohayLyrics
#tajpoint