Mere Mazloom Ali Shahid Baltistani Lyrics In Urdu and Roman Urdu
میرے مظلوم علیؑ
Bain Karti Hi Rahi Qabar Se Yeh Bint-e-Nabi.
Haye Mazloom Ali, Mere Mazloom Ali.
Mere Pehlu Ki Tarha Aap Ka Sar Hai Zakhmi.
Gunbad-e-Khizra-o-Kaba Mein Bapa Hai Matam.
Toor Kar Band-e-Kafan Main Ne Kiya Hai Matam.
Jis Ghari Aap Pe Masjid Mein Hai Talwar Chali.
Mere Baba Se Kiya Wadah Nibhanay Ke Liye.
Khud Ko Tanha Kiya Islam Bachaney Ke Liye.
Shiddat-e-Adal Tere Pairon Ki Zanjeer Bani.
Qatal-e-Mohsin Ho Ya Darbar Mein Meri Peshi.
Zabt Khud Par Kiya Our Mujh Ko Tasali Bhi Di.
Aap Ki Tarha Jahan Mein Nahi Mazloom Koi.
Aaj Kofay Ki Hai Shehzadi Tumhari Beti.
Kal Issi Shehar Mein Aaye Gi Woh Ban Kar Qaidi.
Aakhri Had Mere Wali Hai Yeh Ghurbat Ki Teri.
Oss Ghari Khatam Hoi Thin Meri Sari Khushiyaan.
Zindah Rehne Ki Mere Dil Mein Thi Hasrat Hi Kahan.
Main Ne Jab Aap Ki Gardan Mein Rasan Dekhi Thi.
Waqt-e-Rukhsat Tha Qayamat Yeh Tasali Thi Magar.
Aap Ka Saya Tu Baqi Hai Mere Bachoon Par.
Aap Ne Kaisay Wida Bachoon Se Mangi Hogi.
Bain Yeh :MUHSIN:-o-:DARWAISH: Kiya Zahra Ne.
Kal Inhi Ke Liye Aaye They Jinna Se Kurtay.
Aayi Hai Eid Pe Kofay Mein Jin Aankhon Mein Nami.
Poet: :Shahid Baltistani:
Azafi Ashar: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2022-23:
Composition: :Shahid Baltistani:
#MereMazloomAli
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com