Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani Lyrics Urdu 2024

Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani Lyrics Urdu 2024

Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani

Nad-e-Ali Asal Mein Yeh Hi Tu Hai Yaad-e-Ali.

Wajad Mein Jab Bhi Tera Naam Main Leta Hoon Ali.
Baithay Baithay Hi Najaf Ghomta Rehta Hoon Ali.
Dil Dharakne Ki Sadaon Mein Bhi Sunta Hoon Ali.
Aye Mere Maula Ali Yeh Muhabbat Teri.
Rah Jaisi Bhi Ho Mujh Ko Nahi Girney Deti.

Khaibari Jang Mein Chaleeswan 40 Din Aaya Tu.
Kaha ALLAH Ne Jibreel, Nabi Se Keh Do.
Woh Jo Mazhar Hai Ajaib Ka Pukaro Oss Ko.
Jab Ali Aaye Ga Sab Badal Jaye Ga.
Jeet Jao Gay Abhi Jang Parho Mere Nabi.

Khoya Rehta Hoon Shab-o-Roz Teri Yadoon Mein.
Zindagi Ban Ke Tu Basta Hai Meri Sansoon Mein.
Dil Laga Rehta Har Waqt Teri Baton Mein.
Aisa Lagta Hai Mujhe Sath Hai Tu Mere.
Teri Yadoon Se Nikalne Nahi Deti Hai Kabhi.

Mera Andaz Malangana Bana De Maula.
Jo Tujhe Dekh Le Woh Dana Bana De Maula.
Mujh Ko Behlool Sa Dewana Bana De Maula.
Ishq Itna Hai Mujhe Mere Maula Tujh Se.
Mere Seene Mein Hai Dil Our Hai Iss Dil Pe Likhi.

Rasta Neel Mein Mosa Ko Dikha Deta Hai.
Kashti e Nooh Se Tofan Hata Deta Hai.
Our Kahin Naar Ko Gulzar Bana Deta Hai.
Hazrat-e-Aadam Se Mustafa Tak Sab Ke.
Kam Aaya Hai Yehi Wird Jahan Jis Ne Parhi.

Neza Akbar Ke Kalejay Se Jo Khaincha Tu Parhi.
Teer Be Sheer Ki Gardan Se Nikala Tu Parhi.
Aik Gathri Mein Jo Qasim Ko Samaita Tu Parhi.
Lasha Jab Aoun-o-Muhammad Ka Uthaya Tu Parhi.
Kat Gaye Hath Gira Ghorey Se Jab Yaad-e-Ali.
Shah Lashay Pe Gaye Parhtay Hoye Nad-e-Ali.
Al-Garz Sheh Ka Gala Shimar Ne Jab Kata.
Kuch Qadam Door Se Ro Ro Ke Behan Parhti Rahi.

Pohanchin Darbar Ke Darwazay Pe Zainab Jis Dam.
Khak Pe Aisay Girein Phir Nahi Uth Paye Qadam.
Yaad Baba Ki Jab Aayi Tu Hoin Aankhein Nam.
Ro Ke Zainab Ne Kaha Ho Kahan Aye Baba.
Jab Madad Ke Liye Baba Ko Pukara Tu Parhi.

Beriyon Par Jo Girati Rahi Pani La Kar.
Jo Behan Sham Tak Aayi Thi Tamachay Kha Kar.
Qaid Se Jo Nahi Ja Payi Rehai Pa Kar.
Oss Bahan Ka Lasha Qabar Mein Jab Rakha.
Oss Ghari Syed-e-Sajjad Ke Honton Par Thi.

Jis Ke Seene Mein Hai Gham Zahra Ke Ujray Ghar Ka.
Bas Woh :DARWAISH: Hai :ZEESHAN:-o-:RAZA: Iss Dar Ka.
Oss Pe Rehta Hai Karam Sham-o-Sahar Haider Ka.
Ya Hussaina Kehna Gham Mein Rotay Rehna.
Apne Saye Mein Azadaron Tumhein Rakhay Gi.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2024-25:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi & Shahid Baltistani:

#NadeAli
#NohayLyrics
#tajpoint

New Noha 2024 Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani

Latest Noha Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani

Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani Lyrics Urdu 2024 Write Up Poster Image

Nad e Ali Syed Raza Abbas Zaidi Shahid Baltistani Lyrics Urdu 2024

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!