Bekasoon Ka Qafila Hai Sham Ka Bazar Hai Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Bekasoon Ka Qafila Hai Sham Ka Bazar Hai Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بیکسوں کا قافلہ

Khwahar-e-Abbas-e-Ghazi Qafila Salar Hai.

Kyun Na Roney Ki Sada Aaye Dar-o-Dewar Se.
Be Rida Syedaniyaan Hain Our Bhara Darbar Hai.
Kis Tarha Mangay Ghulamo Se Bhala Abid Rida.
Yeh Hai Ghazi Ka Bhatija Our Bara Khuddar Hai.
Youn Haqarat Se Na Dekho Syed-e-Sajjad Ko.
Yeh Koi Muflis Nahi Konain Ka Sardar Hai.
Khak Sar Par Taziyano Ke Nishaan Hain Pusht Par.
Tauq Hai Zanjeer Hai Our Abid-e-Beemar Hai.
Ya Elahi Kaisay Guzrey Ga Yeh Nazoon Ka Pala.
Paon Mein Chalay Paray Hain Rasta Pur Khar Hai.
Taziyane Mat Lagao Syed-e-Sajjad Ko.
Taziyane Mat Lagao Mat Satao Zalimo.
Yeh Bohat Zakhmi Bohat Pyasa Bohat Beemar Hai.
Chup Hain Abid Ghamzada Ghabra Rahi Hain Bibiyaan.
Ab Bohat Nazdeek Shayad Sham Ka Darbar Hai.
Keh Raha Hai Shah Ki Aankhon Se Khoon Behta Howa.
Sham Ke Bazar Ki Manzil Bohat Dushwar Hai.
Jo Gharana Lut Gaya Tha Dasht Mein :GOHAR: Kabhi.
Aaj Woh Hi Do Jahan Ka Malik-o-Mukhtar Hai
Poet: :Gohar Jarchvi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2002-03:
#BekasoonKaQafila
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!