Ana Abbas-e-Alamdar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ana Abbas-e-Alamdar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اَنا عباسِؑ علمدارؑ

Izn Le Kar Chala Nehar Ko Bawafa.
Ghaiz Mein Aa Ke Yeh Dushmano Se Kaha.
Abbas Abbas Abbas Aa Rahe Hain.
Sun Le Aye Foaj-e-Sitamdar Ana Abbas-e-Alamdar.
Chosti Si Mashk Mein Darya Ko Sama Sakta Hoon.
Taig Ki Gharmi Se Lashkar Ko Jala Sakta Hoon.
Ghaiz Mein Hai Meri Talwar Ana Abbas-e-Alamdar.
Mujh Ko Baba Ne Sikhai Hai Mere Taig Zani.
Main Bhi Hoon Misal-e-Ali Taig Chalane Mein Dhani.
Baap Ki Tarha Hoon Karrar Ana Abbas-e-Alamdar.
Hukam Hai Mujh Ko Faqat Pyason Ki Saqqai Ka.
Aik Ishara Jo Mile Mujh Ko Mere Bhai Ka.
Kar Doon Nu Lakh Ko Filnar Ana Abbas-e-Alamdar.
Meri Talwar Ki Gharm Se Pighal Jao Gaye.
Sar Pata Kar Abhi Maidaan Se Nikal Jao Gaye.
Gar Karon Main Abhi Yalgar Ana Abbas-e-Alamdar.
Itni Raftar Se Dushman Ko Qaza Doon Ga Main.
Malak Almaut Ki Bhi Sans Charha Doon Ga Main.
Main Hoon Jarraron Ka Jarrar Ana Abbas-e-Alamdar.
Haan Main Iss Mashk Mein Le Jaon Ga Bhar Kar Darya.
Aa Ke Ab Rasta Mera Jo Koi Roke Ga.
Ho Ga Woh Maut Se Do Char Ana Abbas-e-Alamdar.
Mera Andaz-e-Waga Sara Arab Jane Hain.
Dekh Loon Ghaiz Se Jis Ko Woh Ghazab Jane Hai.
Jeena Kar Deta Hoon Dushwar Ana Abbas-e-Alamdar.
Aye :WAJHI ZILL-E-RAZA: Ne Yeh Rajaz Khoob Likha.
Sun Ke Qirtas Ke Mathe Pe Paseena Aaya.
Sakhi Abbas ki Takrar Ana Abbas-e-Alamdar.
Poet: :Zill e Raza Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2012-13:
#AnaAbbaseAlamdar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!