Khoon Hum Bahahtay Hain Zakhm Hum Sajatay Hain Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
خون ہم بہاتے ہیں زخم ہم سجاتے ہیں
Yeh Saleeqay Matam Ke Our Kis Ko Aatay Hain.
Rooz Barpa Hoti Hain Mehfilein Zamane Mein.
Hum Tu Bag-e-Janat Mein Rooz Aatay Jatay Hain.
Ja Ke Dekh Le Dunya Aaj Bhi Jaloson Mein.
Unn Ke Sar Nahi Jhuktay Jo Alam Uthatay Hain.
Tum Agar Karo Matam Tum Bhi Seekh Jao Gaye.
Bakhshishon Ka Darwaza Kaise Khatkhatate Hain.
Zikar-e-Murtaza Kar Ke Hum Tu Chehray Parh Parh Kar.
Zaichay Banatay Hain Waldiyat Batatay Hain.
Aap Ko Bhi Mill Jaye Deen Ka Alam Lekin.
Aap Ka Bharosa Kya Aap Bhag Jatay Hain.
Jaein Chand Par Hum Kyun Hum Tu Unkay Nokar Hain.
Chand Taray Khud Jin Ke Dar Pe Aatay Jatay Hain.
Sheikh Jee Sabab Kya Hai Har Rajab Ki Terah Ko.
Sab Khushi Manatay Hain Aap Bilbilatay Hain.
In Ke Samnay Soraj Ik Diya Sa Lagta Hai.
Naqsh Matam-e-Sheh Ke Aise Jagmagatay Hain.
Sahiban-e-Ilm-o-Fun Aqalmand Aye :GOHAR:.
Sar Jhuka Ke Iss Dar Se Faiday Uthatay Hain.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2001-02:
#KhoonHumBahahtayHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com