Jaisay Pinjrey Mein Ho Koi Panchi Aisay Zindan Mein Hai Sakina Lyrics 2002

Jaisay Pinjrey Mein Ho Koi Panchi Aisay Zindan Mein Hai Sakina Lyrics 2002

Jaisay Pinjrey Mein Ho Koi Panchi Aisay Zindan Mein Hai Sakina.

Aao Baba Jaan.

Kabhi Amma Ke Pehlu Mein Rona Kabhi Bhaiyya Se Apne Lipattna.
Kabhi Takrana Dewar-o-Dar Se Kabhi Zindaan Ke Dar Par Yeh Kehna.

Aisay Takrati Phirti Thi Bachi Jaisay Pinjrey Mein Zakhmi Ho Panchi.
Kaisay Taray Qafas Toor Dalay Ho Rehai Ka Koi Qareena.

Maut Se Pehle Aa Jao Baba Yeh Sakina Pe Ahsan Ho Ga.
Baad Mere Na Baba Yeh Kehna Main Ne Tum Ko Pukara Nahi Tha.

Aye Phophi Ab Mera Dil Hai Kehta Mujh Ko Mil Jaye Ga Mera Baba.
Dadi Zahra Ki Mano Kahani Mil Gaya Tha Sunaran Ka Beta.

Ho Gayi Khair Aaya Na Asghar Woh Tu Mar Jata Zindaan Mein Ghut Kar.
Kaisay Sota Andherey Mein Bhaiyya Qaid Ho Jata Zindaan Mein Jhola.

Haye Khoon Mein Bhira Sar Jo Aaya Baap Ke Sar Se Beti Ne Pocha.
Munh Pe Munh Rakh Ke So Na Sakoon Gi Hai Kahan Mere Baba Ka Seena.

Sabar Kaisay Hoon :REHAN: -o- :SARWAR: Hum Tu Aaye Hain Khud Sham Ho Kar.
Aaj Bhi Sham Dhalti Hai Jab Bhi Ik Sada Katti Hai Kaleja.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2001-02:

#NohayLyrics
#tajpoint

Jaisay Pinjrey Mein Ho Koi Panchi Aisay Zindan Mein Hai Sakina Lyrics 2002 Write Up Poster Image

Jaisay Pinjrey Mein Ho Koi Panchi Aisay Zindan Mein Hai Sakina Lyrics 2002

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!