Bara Dil Dukhaya Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Bara Dil Dukhaya Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بڑا دِل دُکھایا

Thak Gayin Ro Ke Tu Khamosh Ho Gayin Zahra.
Zakhm Pehlu Mein Liye Aaj So Gayin Zahra.
Aye Madine Walo Bara Dil Dukhaya.
Batao Ahl-e-Madina Yeh Tum Ne Kya Hai Kiya.
Nabi Ki Aal Se Tum Ne Nibhai Khoob Wafa.
Sitam Hai Umm-e-Abeeha Ko Tum Ne Tarpaya.
Bulaya Bar Sar-e-Darbar Haq Bhi Cheen Liya.
Bint-e-Mustafa Ko Kyun Lahu Rulaya.
Woh Beti Nazoon Se Pala Jisay Muhammad Ne.
Kabhi Na Ghar Se Nikala Jisay Muhammad Ne.
Khadija Ban Ke Sanbhala Jisay Muhammad Ne.
Khud Apne Aap Mein Dhala Jisay Muhammad Ne.
Narga-e-Sitam Mein Kyun Ossay Bulaya.
Tumhara Dawa Tha Humdard Tum Rasool Ke They.
Hadees-e-Pak Ke Paband Our Usool Ke They.
Tumhi Tu Sehan-e-Nabowat Mein Misal-e-Phool Ke They.
Na Tum Nabi Ke Janazay Mein Na Batool Ke They.
Koi Bhi Tu Wadah Tum Ne Na Nibhaya.
Chaley Gaye Woh Muhabbat Ke Dawaydar Kahan.
Chaley Gaye Woh Muhammad Ke Janisar Kahan.
Woh Jhotay Loag Shariyat Ke Thekedar Kahan.
Kaho Rasool Ki Beti Ka Hai Mazar Kahan.
Qabar-e-Syeda Par Roshni Na Saya.
Sand Ke Tukray Kiye Our Gawah Jhutlaye.
Batool Roein Tu Iss Pe Bhi Aytraz Aaye.
Bas Aik Hujrey Mein Roney Ka Izn Tha Haye.
Nabi Ki Ladli Beti Ne Dukh Bohat Khaye.
Ta Dam-e-Shahadat Kis Qadar Sataya.
Qabar-e-Zahra Se Yehi Aaj Bhi Aati Hai Sada.
Kya Sitam Mujh Pe Hoye Tum Ko Bataon Baba.
Mere Mohsin Ne Wiladat Ke Ewaz Payi Qaza.
Zakhmi Pehlu Ko Liye Karti Rahi Main Noha.
Aag Le Ke Aaye Our Ghar Jalaya.
Yeh Hai Hadees-e-Nabi Kyun Issay Bulaya Hai.
Kissi Ne Fatima Zahra Ko Ghar Rulaya Hai.
Samajh Lo Oss Ne Muhammad Ka Dil Dukhaya Hai.
Hai Khafa Payamber Bas Yeh Baat Keh Kar.
Kyun Ghadeer Ki Tarha Yeh Qaul Bhi Bhulaya.
Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Mein.
Hasan Ko Zehar Khilaya Gaya Madine Mein.
Nabi Ke Ghar Ko Jalaya Gaya Madine Mein.
Bugz Ke Jaloon Ko Keena Parwaron Ko.
Jab Shaheed Syeda Hoin Tu Chain Aaya.
Kahan Talak Woh Musayab Biyaan Karey :MEESUM:.
Rasool Zadi Ke Matam Mein Sogowar Hain Hum.
Siyah Posh Hai Kaba Udas Hai Aalam.
Farsh-e-Gham Bichaya Bint-e-Mustafa Ka.
:MAZHAR ABIDI: Ne Ro Ke Marsiya Sunaya.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2020-21:
Composition: :Mazhar Abidi and Mesum Abbas:
#BaraDilDukhaya
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!