Paigham e Madar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Paigham e Madar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

پیغامِ مادرِ اصغرؑ

Maqtal Ki Hawa Yeh Asghar Ko Maa Ka Paigham Sunaye.
Behta Hai Tu Khoon Beh Jaye Tera Baba Par Aanch Na Aaye.
Jis Madar Ne Tere Chehray Par Kabhi Gard Na Parne Di Thi.
Ab Khon Mein Tar Tere Chehray Ko Woh Dekh Ke Mar Na Jaye.
Jeene Ka Sahara Madar Ka Tera Jhola Jal Gaya Beta.
Maa Reh Gayi Jaltay Khaimay Mein Dil Se Woh Raakh Lagaye.
Jana Tha Agar Beta Asghar Tum Yeh Tu Batatay Jate.
Woh Madar Kaisay Jeeti Hai Jis Ka Bacha Mar Jaye.
Jis Ke Liye Kurta Bhaija Tha Woh Bhaiyya Mar Gaya Ban Mein.
Paigham Hussain Yeh Sughra Tak Kis Tarha Se Pohanchaye.
Shabeer Chupa Lo Daman Mein Asghar Ka Phool Sa Chehra.
Maqtal Ki Hawa Hai Garam Bohat Kahin Phool Yeh Na Murjhaye.
Bardasht Na Hota Majmay Mein Ban Chadar Maa Ka Aana.
Band Aankhein Kar Ke Sham Talak Asghar Naizay Par Aaye.
Poet: :Syed Zain Raza Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2021-22:
Composition: :Hassan Murtaza:
#PaighameMadareAsghar
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!